Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jai Jaikaar Karo Mata Ki (जय जयकार करो माता की - माता भजन)


Jai Jaikaar Karo Mata Ki
Jai Jaikaar Karo Mata Ki,
Aao Sharan Bhawani Ki
Ek Baar Phir Prem Se Bolo
Jay Durga Maharani Ki
Jay Durga Maharani Ki
Pahali Devi Shailaputri Hai Kiye Bail Ki Savaari
Chandrama Maathe Par Sohe
Sundar Roop Manohaari
Sundar Roop Manohaari
Lie Kamandal Phool Kamal Ke
Aur Rudraksho Ki Mala
Hui Dusri Brahmacharini
Kare Jagat Mein Ujiyala
Kare Jagat Mein Ujiyala

Poorn Chandrama Si Nirmal
Devi Chandraghanta Mata
Inke Sumiran Se Nirbal Bhi
Bairi Par Hai Jai Pata
Bairi Par Hai Jai Pata

Jai Jaikaar Mata Ki,
Aao Sharan Bhawani Ki
Ek Baar Phir Prem Se Bolo
Jay Durga Maharani Ki
Jay Durga Maharani Ki

Chauthi Devi Kushmanda Hai Inki Leela Hai Nyari
Amrit Bhara Kalash Hai Kar Mein
Kiye Baagh Ki Sawari
Kiye Baagh Ki Sawari
Kar Mein Kamal Sinkh Parasihasan

Sab Ka Shubh Karne Wali
Mangalmayi Skandmata Mata Hai
Jag Ka Duhkh Harne Wali
Jag Ka Duhkh Harne Wali

Muni Katyani Ki Ye Kanya
Hai Sabki Katyani Maan
Daanavta Ki Shatru Aur
Maanavta Ki Sukhdayini Maan
Maanavta Ki Sukhdayini Maan

Jai Jaikaar Mata Ki,
Aao Sharan Bhawani Ki
Ek Baar Phir Prem Se Bolo
Jay Durga Maharani Ki
Jay Durga Maharani Ki

Yahi Kalaratri Devi Hai Mahapralay Dhane Wali
Sab Prani Ke Khaane Wale
Kal Ko Bhi Khaane Wali
Kal Ko Bhi Khaane Wali
Shvet Bail Hai Vahan Jinka
Tan Par Swetambar Bhaata
Yahi Mahagauri Devi Hai
Sabki Jagdamba Mata
Sabki Jagdamba Mata

Shankh-Chakr Aur Gada Padm
Kar Mein Dharan Karne Wali
Yahi Siddhidatri Mata Hai
Riddhi Siddhi Dene Wali
Riddhi Siddhi Dene Wali
Bhakti Bharat Lyrics

Jai Jaikaar Mata Ki,
Aao Sharan Bhawani Ki
Ek Baar Phir Prem Se Bolo
Jay Durga Maharani Ki
Jay Durga Maharani Ki

Song Name : Jai Jaikaar Karo Mata Ki
Movie : Nav Durga
Singer : Chitragupta Shrivastava

जय जयकार करो माता की - माता भजन हिन्दी में पढ़ें

जय जयकार माता की, आओ शरण भवानी की, एक बार फिर प्रेम से बोलो, जय दुर्गा महारानी की
Read Also

Bhajan Maa Kali BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan

Other Popular Jai Jaikaar Karo Mata Ki Video

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥

Nit Nayo Lage Sanvaro

Nit Nayo Laage Saanvaro, Iki Leva Nazar Utaar, Najar Na Lag Jaavai, Eki Leva Nazar Utaar..

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar Bhagat Koi Rota Hoyega

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Bhagat Koi Rota Hovega, Baba Karlen Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP