गणेशोत्सव - Ganeshotsav

Jisne Sadhe Raghuvar Ke Sare Kaam Hai (जिसने साधे रघुवर के, सारे काम है: भजन)


Jisne Sadhe Raghuvar Ke Sare Kaam Hai
JIsne Sadhe Raghuvar Kae,
Sare Kaam Hai,
Jisaki Har Saans Pe,
Keval Ram Ka Naam,
Jo Ram Dewana,
Kahalata Sareaam Hai,
Wo Hanuman Hai,
Wo Hanuman Hai ॥
Jo Saat Samundar Langhe,
Aur Palmain Lanka Jalaye,
Jo Apane Is Bal Ko Bhi,
Bas Ram Krupa Batlaye,
Jisake Maan Main Na,
Kan Bhar Bhi Abhiman Hai,
Wo Hanuman Hai,
Wo Hanuman Hai ॥

Vo Ram Jo Jag Ka Data,
Jis Ram Se Duniya Sari,
Jisane Kitano Ki Naiya,
Bhav Sagar Paar Utari,
Us Ram Pe Bhi Jis,
Sevak Ka Ahasaan Hai,
Wo Hanuman Hai,
Wo Hanuman Hai ॥

Jo Jeet Sake Hari Maan Ko,
Vo Tir Nahin Tarakash Mein,
‘Sonu’ Hanuman Sikhaate,
Bhagavan Bhagat Ke Vash Mein,
Jisake Sumiran Se,
Mil Jate Prabhu Ram Hai,
Wo Hanuman Hai,
Wo Hanuman Hai ॥

JIsne Sadhe Raghuvar Kae,
Sare Kaam Hai,
Jisaki Har Saans Pe,
Keval Ram Ka Naam,
Jo Ram Dewana,
Kahalata Sareaam Hai,
Wo Hanuman Hai,
Wo Hanuman Hai ॥

जिसने साधे रघुवर के, सारे काम है: भजन हिन्दी में पढ़ें

जिसने साधे रघुवर के, सारे काम है, जिसकी हर साँस पे, केवल राम का नाम, जो राम दीवाना, कहलाता सरेआम है, जो राम दीवाना, कहलाता सरेआम है, वो हनुमान है, वो हनुमान है ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP