नवरात्रि विशेष 2026 - Navratri Specials 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maa Murade Puri Karde Main Halwa Batungi (माँ मुरादे पूरी करदे हलवा बाटूंगी - भजन)


Maa Murade Puri Karde Main Halwa Batungi
Maa Murade Puri Karde Halwa Batungi ।
Jyot Jaga Ke, Sar Ko Jhuka Ke,
Main Manaungi, Dar Pe Aaungi, Manaungi, Main Aaungi ॥
Santo Mahanto Ko Bula Ke Ghar Mein Karaun Jagraata ।
Sunti Hai Sab Ki Phariyaden, Meri Bhi Sun Legi Mata ।
Jholi Bharegi, Sankat Haregi, Bheta Gaungi,
Main Manaungi, Bheten Gaungi, Manaungi, Main Aaungi ॥
॥ Maa Murade Puri Karade… ॥

Dil Se Suno Sherawali Maa, Khadi Main Ban Ke Sawali ।
Jholi Bharo Meri Rani Wali Maa, Godi Hai Laal Se Khali ।
Kripa Karo, Godi Bharo, Main Dar Pe Aaungi, Main Bheten Gaungi,
Main Aaungi, Main Gaungi, Main Aaungi ॥
॥ Maa Murade Puri Karade… ॥

Bhawan Tera Hai Sab Se Uncha Maa, Aur Gupha Teri Nayari ।
Bhagy Vidata Jyota Wali Maa, Kahati Hai Duniya Sari ।
Dati Tumhara, Le Ke Sahara, Main Dar Pe Aaungi, Main Bhete Gaungi,
Main Aaungi, Main Gaungi, Main Aaungi ॥
॥ Maa Murade Puri Karade… ॥

Kripa Karo Vardani Maa, Chhaya Hai Gam Ka Andhera ।
Tere Bina Mera Koi Na, Mujh Ko Bharosa Hai Tera ।
Dati Tumhara, Le Ke Sahara, Dar Pe Aaungi, Main Bhete Gaungi,
Main Aaungi, Main Gaungi, Main Aaungi.
॥ Maa Murade Puri Karade… ॥

Maa Murade Puri Karde Halwa Batungi ।
Jyot Jaga Ke, Sar Ko Jhuka Ke,
Main Manaungi, Dar Pe Aaungi, Manaungi, Main Aaungi ॥

माँ मुरादे पूरी करदे हलवा बाटूंगी - भजन हिन्दी में पढ़ें

माँ मुरादे पूरी करदे हलवा बाटूंगी। ज्योत जगा के, सर को झुका के...
 
Next »
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanMaa Ambe Bhajan

Other Popular Maa Murade Puri Karde Main Halwa Batungi Video

Maa Murade Puri Karde Main Halwa Batungi By Anuradha Paudwal

Maa Murade Puri Karde Main Halwa Batungi By Kanhiya Mittal Bhajan

Maa Murade Puri Karde By Anuradha Sharma

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Rani Ne Kripa Barsayi

Mata Rani Ne Kripa Barsayi, meri har gal Puri Hundi Ayi, mata Rani Ne Keetti Sunavayi

Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai

Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein, Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥ Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,

Meri Maa Ambe Durga Bhawani

Meri Maa Ambe Durga Bhawani, Kis Jagah Tera Jalava Nahin Hai, Tera Jalava Koi Koi Dekhe, Har Kisi Ka Mukadar Nahi Hai, Tera Jalwa Jalwa Jalwa, Tera Jalwa Jalwa Jalwa, Tera Jalava Koi Koi Dekhe,
Har Kisi Ka Mukadar Nahi Hai ॥

Main Ladli Sherowali Ki

Us Unche Mandiron Wali Ki, Meri Maiya Mehro Wali Ki, Main Ladli Sherowali Ki, Main Ladli Sherowali Ki ॥

Kah Kar To Dekh Maa Se Dukh Dard Tere Dil Ke

Kah Kar To Dekh Maa Se, Dukh Dard Tere Dil Ke, Ye Gale Se Laga Legi, Tasvir Se Nikal Ke, Ye Gale Se Laga Legi, Tasvir Se Nikal Ke ॥

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP