Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Main Balak Tu Mata Sherawaliye (मैं बालक तू माता शेरां वालिए - भजन)


Main Balak Tu Mata Sherawaliye
Main Balak Tu Mata Sherawaliye,
Hai Atut Yah Nata Sherawaliye ।
Sherawaliye Maa, Pahada Waliye Maa,
Mehara Waliye Maa, Jyotan Waliye Maa ॥
॥ Main Balak Tu Mata Sherawaliye… ॥
Teri Mamta Mili Hai Mujhko, Tera Pyar Mila Hai,
Tere Anchal Ki Chhaya Mein Man Ka Phool Khila Hai ।
Tune Buddhi, Tune Sahas, Tune Gyan Diya
Mastak Uncha Karke Jeene Ke Vardaan Diya Maa ।
Tu Hai Bhagya Vidhata, Main Balak Tu Mata Sherawaliye ॥
॥ Main Balak Tu Mata Sherawaliye… ॥

Jab Se Do Naino Mein Teri Pavan Jyot Samayi,
Mandir Mandir Teri Murat Dene Lagi Dikhai ।
Unche Parvat Par Mainne Bhi Daal Diya Hai Dera,
Nishadin Kare Jo Teri Seva Main Vo Daas Hoon Tera ।
Rahun Tere Gun Gata, Main Balak Tu Mata Sherawaliye ॥

Main Balak Tu Mata Sherawaliye,
Hai Atut Yah Naata Sherawaliye ।
Sherawaliye Maa, Pahada Waliye Maa,
Mehra Waliye Maa, Jyotan Waliye Maa ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

Navratri 2026 Dates

Date Tithi Navratri Devi Name Color
19 March Amavasya Mata Shailputri Puja, Ghatasthapana, Nav Varsh Yellow
20 March Dwitiya Mata Brahmacharini Puja, Cheti Chand Green
21 March Tritiya Mata Chandraghanta Puja, Matsya Jayanti, Gangaur Gray
22 March Chaturthi Mata Kushmanda Puja Orange
23 March Panchami Mata Skanda Mata Puja, Lakshmi Panchami White
24 March Sashti Mata Katyayani Puja, Yamuna Chhath Red
25 March Saptami Mata Kalaratri Puja Dark Blue
26 March Ashtami Mata Mahagauri Puja, Durga Ashtami Pink
27 March Navami Mata Siddhidatri Puja, Rama Navami, Navratri Paran, Swaminarayan Jayanti Purple

मैं बालक तू माता शेरां वालिए - भजन हिन्दी में पढ़ें

मैं बालक तू माता शेरां वालिए, है अटूट यह नाता शेरां वालिए...
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shivoham Shivoham Shivoham

Hai Ek Onkar Niranjan Nirankar,
Hai Ajar Amar Aakar
Vishwadhara Man Bhaje ।

Chadha Le Lota Jal BHar Ke

Chadha Le Lota Jal Bhar Ke, Tera Kalyan Ho Jaye, Kantili Rah Jivan Ki, Teri Aashan Ho Jaye, Chadha Le Lota Jal Bhar Ke, Tera Kalyan Ho Jaye ॥

Chal Re Kanwariya Shiv Ke Dham

Chahe Chaye Ho Badal Kale, Chahe Pao Mein Pad Jaye Chale, Chal Re Kavadia Shiv Ke Dham, Chahe Aag Gagan Se Barse, Chahe Pani Ko Maan Tarse, Chal Re Kavadia Shiv Ke Dham, Chal Re Kavadia Shiv Ke Dham, Bol Bam Bol Bam Bol Bam Bol, Tera Kuch Na Lagega Mel ॥

Guru Shiv Ko Bana Lijiye

Guru Shiv Ko Bana Lijie, Bhakti Se Ghar Saja Lijiye ॥ Kar Nahin Hai to Lachar Hai,...

Kholo Samadhi Bhole Shankar Mujhe Darsh Dikhao

Kholo Samadhi Bhole Shankar, Mujhe Darash Dikhao, Iss Jag Ki Jhoothi Maya, Se Mujhko Bachao, Kholo Samadhi Bhole Shankar, Mujhe Darash Dikhao ॥

Bhole Ki Kripa Se Hamare Thaat Nirale Hai

Bhole Ki Kripa Se Hamare, Thaath Nirale Hai, Hum Baba Wale Hai, Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥

Hey Bholenath Ki Shadi

Hey Bholenath Ki Shadi Hum To Nachenge, Hey Bholenath Ki Shadi Hum To Nachenge ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP