नवरात्रि विशेष 2026 - Navratri Specials 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mera Man Panchi Ye Bole Ud Vrindavan Jaau (मेरा मन पंछी ये बोले, उड़ वृन्दावन जाऊँ - भजन)


Mera Man Panchi Ye Bole Ud Vrindavan Jaau
Mera Man Panchi Ye Bole,
Ud Vrindavan Jaau,
Braj Ki Lata Pata Mein,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Shyama-shyama Gaun ॥
Vrindavan Ki Mahaima Pyare,
Koi Na Jane,
Prem Nagariya Manmohan Ki,
Prem Pahachane,
Vrindavan Ki Mahaima Pyare,
Koi Na Jane,
Prem Nagariya Manmohan Ki,
Prem Pahachane,
Brij Galiyon Mein Jhoom-Jhoom Ke,
Brij Galiyon Mein Jhoom-Jhoom Ke,
Maan Ki Tapan Bujhaun,
Braj Ki Lata Pata Mein,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Shyama-shyama Gaun ॥

Nidhiban Ji Mein Yaha Kanhaiya,
Raas Rachate Hai,
Prem Bhari Apani Bansuriya,
Aap Bajate Hai,
Nidhiban Ji Mein Yaha Kanhaiya,
Raas Rachate Hai,
Prem Bhari Apani Bansuriya,
Aap Bajate Hai,
Radha Sanga Nache Sawariya,
Radha Sanga Nache Sawariya,
Darshan Karke Aaun,
Braj Ki Lata Pata Mein,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Shyama-shyama Gaun ॥

Chhel Chhabile Krshn Piya Teri,
Yaad Satati hai,
Kuhu Kuhu Kar Kali Koyal,
Maan Tadpati Hai,
Chhel Chhabile Krshn Piya Teri,
Yaad Satati hai,
Kuhu Kuhu Kar Kali Koyal,
Maan Tadpati Hai,
Chin Liya Sab Tune Mera,
Chin Liya Sab Tune Mera,
Yaar Kaha Ab Jaun,
Braj Ki Lata Pata Mein,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Shyama-shyama Gaun ॥

Radhe Radhe Japle Manav,
Dukh Mit Jayegi,
Radha Radha Sunke Kanha,
Dodi Aayegi,
Radhe Radhe Japle Manav,
Dukh Mit Jayegi,
Radha Radha Sunke Kanha,
Dodi Aayegi,
Pyare Radha Raman Tumhare,
Pyare Radha Raman Tumhare,
Charnon Mein Raam Jaun,
Braj Ki Lata Pata Mein,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Shyama-shyama Gaun ॥

Mera Man Panchi Ye Bole,
Ud Vrindavan Jaau,
Braj Ki Lata Pata Mein,
Main Radhe-Radhe Gaun,
Shyama-shyama Gaun ॥

मेरा मन पंछी ये बोले, उड़ वृन्दावन जाऊँ - भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरा मन पंछी ये बोले, उड़ वृन्दावन जाऊँ, बृज की लता पता में, मैं राधे-राधे गाऊँ, मैं राधे-राधे गाऊँ, श्यामा-श्यामा गाऊँ ॥
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanIskcon Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Mat Barso Inder Raj

Aji mat barso Inder Raj, Ya Jag Sethani Bhije, Ya Jag Sethani Bhije, Mhari Raj Rani Bhije, Aji mat barso Inder Raj, Ya Jag Sethani Bhije ॥

Maiya Ambe Maiya Lal Tera Ghabraye

Maiya Ambe Maiya, Laal Tera Ghabraye Har Pal Tujhe Bulaye ॥

Tu Jab Jab Humko Bulaye Hum Dode Aaye

Tu Jab-jab Humko Bulaye, Hum Daude Aaye Bhavan Tumhare, Maan Teri Bas Ek Ishare,

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP