Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye (मेरे घर गणपति जी है आए: भजन)


Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye,
Main Apne Duhkh Ko,
Main Apne Duhkh Ko Hoon Bisraye,
Vo Khushiyan Apne Sath Hai Laye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥
Main Bhog Lagaoon Unhen Modak Ka,
Main Bhog Lagaoon Unhen Modak Ka,
Main Tilak Karoon Unko Chandan Ka,
Mera Man Harpal Yahi Gaye,
Mera Man Harpal Yahi Gaye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Dayalu Hai Vo Hai Kripalu,
Dayalu Hai Vo Hai Kripalu,
Unhi Ki Mahima Gaye Shraddhalu,
Vo Dekho Mere Ghar Hai Aaye,
Vo Dekho Mere Ghar Hai Aaye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Hai Brahma Ji Bhi Unko Dhyaye,
Hai Brahma Ji Bhi Unko Dhyaye,
Narad Muni Unki Mahima Gaye,
Vo Jag Ke Swami Antaryami,
Vo Jag Ke Swami Antaryami,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Nirbal Bal Nirdhan Dhan Hai Paate,
Nirbal Bal Nirdhan Dhan Hai Paate,
Vo Sarvpratham Hai Pooje Jaate,
Badi Sab Mahima Unki Gaye,
Badi Sab Mahima Unki Gaye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Karoon Kis Man Se Main Visarjan,
Karoon Kis Man Se Main Visarjan,
Hye Gajmukh Mere Gauri Nandan,
Phir Se Parv Ye Jaldi Aaye,
Phir Se Parv Ye Jaldi Aaye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye,
Main Apne Duhkh Ko,
Main Apne Duhkh Ko Hoon Bisraye,
Vo Khushiyan Apne Sath Hai Laye,
Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

मेरे घर गणपति जी है आए: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरे घर गणपति जी है आए, मेरे घर गणपति जी है आये, मैं अपने दुःख को, मैं अपने दुःख को हूँ बिसराये, वो खुशियां अपने साथ है लाए, मेरे घर गणपति जी है आए ॥
Read Also

Bhajan Ganesh Puja BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanAnantchaturdasi BhajanGanesh Visarjan Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

O kanha re

Roz subah panghat pe khele, Bin rangon ki holi, Roz subah panghat pe khele, Bin rangon ki holi..

Gauri Ke Ladle Mahima Teri Mahan

Gauri Ke Ladale, Mahima Teri Mahaan, Karata Hai Sabase Pahale, Pooja Teri Jahaan,
Gauri Ke Ladale, Mahima Teri Mahaan ॥

Meri Bigdi Bana De O Deva

Sabse Pahle Tera Vandan Karne Aai Umanandan Karde Puri Murade O Deva, Siddha Karde Tu Kaaj Hay Gano Ke Maharaj Meri Bigadi Bana De O Deva ॥

Teri Jay Ho Jay Ho Jay Gauri Lal

Teri Jay Ho Jay Ho, Jay Gauri Laal, Puju Tera Naam, Karo Sabako Nihal, Teri Jay Ho Jay Ho,
Jay Gauri Laal ॥

Apne Rang Ranglo Gajanan

Apane Rang Ranglo Gajanan, Dil Tumhara Ho Gaya, Dil Tumhara Ho Gaya Deva, Dil Tumhara Ho Gaya, Kuch Raha Na Mujh Main Mera, Sab Tumhara Ho Gaya, Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Jab Japega Shiv Kaa Naam Tere Ban Jaayege Bigde Kaam

Subah Subah Nis Din Jaya Kar Shiv Ke Mandir, Subah Subah Tu Uth Ke Nis Din Shiv Ke Mandir Jaya Kar, Jab Jape Ga Shiv Ka Naam Tere Banege Bigde Kaam, Naam Jab Japega Shiv Ka Naam Tere Ban Jayege Sab Bigde Kaam...

Pyaro Vrindavan

Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayam haday ku bhaye, Vrindavan pyaro vrindavan...

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP