Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Meri Maa Ke Barabar Koi Nahi (मेरी माँ के बराबर कोई नहीं: भजन)


Meri Maa Ke Barabar Koi Nahi
Uncha Hai Bhavan Uncha Mandir
Unchi Hai Shaan Maiya Teri
Charnon Mein Jhuke Badal Bhi Tere
Parvat Pe Laage Shaiya Teri
Hey Kalaratri He Kalyani
Tera Jod Dhara Par Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Teri Mamta Se Jo Gahara Ho
Aisa to Sagar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Jaise Dhara Aur Nadiyan
Jaise Phool Aur Bagiya
Mere Itne Zyada Paas Hai Tu

Jab Na Hoga Tera Aanchal
Naina Mere Honge Jal-thal
Jayenge Kahan Phir Mere Aansu

Duhkh Door Hua Mera Saara
Andhiyaron Mein Chamka Tara
Naam Tera Jab Bhi Hai Pukara

Sooraj Bhi Yahan Hai Chanda Bhi
Tere Jaisa Ujagar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Hey Kalaratri Hey Kalyani
Tera Jod Dhara Par Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Tere Mandiron Mein Mai
Mainne Jot Kya Jalai
Ho Gaya Mere Ghar Mein Ujala

Kya Bataoon Teri Maya
Jab Kabhi Main Ladkhadaya
Tune 10 Bhujaon Se Sambhala

Khil Jaati Hai Sukhi Daali
Bhar Jaati Hai Jholi Khali
Teri Hi Mehar Hai Meharaavaali

Mamta Se Teri Badhake Maiya
Meri to Dharohar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Hey Kalaratri Hey Kalyani
Tera Jod Dhara Par Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Teri Mamta Se Jo Gahara Ho
Aisa to Sagar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

Maan Meri Maan
Maan Meri Maan
Maan Meri Maan
Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

मेरी माँ के बराबर कोई नहीं: भजन हिन्दी में पढ़ें

तेरी ममता से जो गहरा हो, ऐसा तो सागर कोई नहीं, मेरी माँ के बराबर कोई नहीं..
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJubin Nautiyal Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara Kali Ghata Mein Chamke, Jaise Koi Sitara ।

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me, Tera Dam Dam Damaroo Bole Sare Jahan Mein॥ Sun Damaroo Ki..

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo, Ghat Bhar Ke Ganga Jai Se Kavad Liye Bharo,
Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo ॥

Baba Nene Chaliyo Hamaro Apan Nagari

Auro Baharab Ahan Ke Dehari Baba, Auro Baharab Ahan Ke Dehari, Baba Nene Chaliyau Hamaro Apan Nagari..

Meri Laaj Rakhna Bhole Meri Laaj Rakhna

Meri Laaj Rakhna, Tere Dware Aaya Mein Baba, Teri Sharan Mein aaya Mein Baba, Meri Laaj Rakhna Meri Laaj Rakhna ॥

Har Janmo Mein Bhole Ka Darbar Mil Jaye

Har Janmo Mein Bhole Ka Darbar Mil Jaye, Aor Dil Ke Khajane Se Jara Sa Pyar Mil Jaye ॥

O Sanware Data Mere Tera Shukriya Hai

Mujhe Jo Bhi Kuch Mila Hai, Tumne Hi Sab Diya Hai, O Sanware Data Mere, Tera Shukriya Hai...

Shiv Bhajan - Shiv Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP