janmashtami 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mujh Par Bhi Daya Ki Kardo Najar (मुझ पर भी दया की कर दो नज़र - भजन)


Mujh Par Bhi Daya Ki Kardo Najar
Mujh Par Bhi Daya Ki Kar Do Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।
Kuch Deenon Ke Duhkh Ki Le Lo Khabar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।
Aarat Jan Tumko Pukar Rahe Hain,
Aane Ki Baat Nihar Rahe Hain ।
Sir Chhipa Ke Yahan Baithe Natwar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Mujh Par Bhi Daya Ki Kar Do Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Brajbala Vyakul Rahati Hai,
Gwalon Ki Toli Kahati Hai ।
Kab Aaoge Kanha Kunwar Bankar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Mujh Par Bhi Daya Ki Kar Do Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Jis Bansi Ne Premprakash Kiya,
Rasdayak Raas Bilas Kiya ।
Baj Jaye Wahi Bansi Ghar-ghar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Mujh Par Bhi Daya Ki Kar Do Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Bisara Do Inhen Ya Samhalo Inhen,
Thukra Do Chahe Apna Lo Inhen ।
Drg Bindu Hain Aapke Peshe Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Mujh Par Bhi Daya Ki Kar Do Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

Mujh Par Bhi Daya Ki Kar Do Nazar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।
Kuchh Deenon Ke Duhkh Ki Le Lo Khabar,
Aye Shyam Sundar Aye Murlidhar ।

मुझ पर भी दया की कर दो नज़र - भजन हिन्दी में पढ़ें

मुझ पर भी दया की कर दो नज़र, ऐ श्याम सुंदर ऐ मुरलीधर। कुछ दीनों के दुःख की ले लो खबर,..
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam Bhajan

Other Popular Mujh Par Bhi Daya Ki Kardo Najar Video

Mujh Par Bhi Daya Ki Kardo Najar By Maithili Thakur

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Raghunandan Raghav Ram Hare Dhun

Raghunandan Raghav Ram Hare, Siya Ram Hare, Siya Ram Hare ।

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Maa Ho To Aisi Ho Aisi Ho

Haan Maan Ho to Aisi Ho Aisi Ho, Aisi Ho Kali Maiyyan Tere Jaisi Ho Haan Maan Ho to Aisi Ho Aisi Ho, Are Aisi Ho Kali Maiyyan Tere Jaisi Ho...

Janmashtami - Janmashtami
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP