Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Narayan Mil Jayega (नारायण मिल जाएगा - भजन)


Narayan Mil Jayega
Prem Prabhu Ka Baras Raha Hai
Pee Le Amrit Pyase
Saaton Tirath Tere Andar
Baahar Kise Talaase
Kann Kann Mein Hari
Kshan Kshan Mein Hari
Muskanon Mein Ansuvan Mein Hari

Mann Ki Aankhein Toone Kholi
Toh Hi Darshan Paayega

Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega

Niyati Bhed Nahi Karti
Jo Leti Hai Woh Deti Hai
Jo Boyega Woh Kaatega
Yeh Jag Karmon Ki Kheti Hai

Niyati Bhed Nahi Karti
Jo Leti Hai Woh Deti Hai
Jo Boyega Woh Kaatega
Yeh Jag Karmon Ki Kheti Hai

Yadi Karm Tere Paawan Hai Sabhi
Doobegi Nahi Teri Naav Kabhi
Teri Baanh Pakadne Ko
Woh Bhes Badal Ke Aayega

Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega

Neki Vyarth Nahi Jaati
Hari Lekha Jokha Rakhte Hain
Auron Ko Phool Diye Jisne
Uske Bhi Hath Mehakte Hain

Neki Vyarth Nahi Jaati
Hari Lekha Jokha Rakhte Hain
Auron Ko Phool Diye Jisne
Uske Bhi Hath Mehakte Hain

Koyi Deep Mile Toh Baati Bann
Tu Bhi Toh Kisi Ka Saathi Bann
Mann Ko Mansarovar Karle
Toh Hi Moti Payega

Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega

Kaan Lagake Baatein Sunle
Sookhe Hue Darakhton Ki
Leta Hai Bhagwan Pariksha
Sabse Pyare Bhakton Ki

Ek Prashn Hai Gehra Jiski
Hari Ko Thaah Lagani Hai
Teri Shradha Sona Hai
Ya Bas Sone Ka Paani Hai

Jo Phool Dhare Har Daali Par
Vishwas Toh Rakh Us Maali Par
Tere Bhaag Mein Pathar Hai Toh
Pathar Bhi Khil Jayega

Pata Nahi Kis Roop Main Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega

Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega

नारायण मिल जाएगा - भजन हिन्दी में पढ़ें

प्रेम प्रभु का बरस रहा है, पीले अमृत प्यासे, सातों तीरथ तेरे अंदर, बाहर किसे तलाशे..पता नहीं किस रूप में आकर नारायण मिल जाएगा
Read Also

Bhajan Diwali BhajanRam Mandir BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanJubin Nautiyal Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Prayer Tumhi Ho Mata Pita Tumhi Ho

Tumhi Ho Mata, Pita Tumhi Ho । Tumhi Ho Bandhu, Sakha Tumhi Ho | Tum Hi Ho Sathi, Tum Hi Sahare

Parde Me Bethe Bethe Yun Na Muskuraiye

Parde Mein Baithe-baithe, Yoon Na Muskuraiye, Aa Gaye Tere Deewane...

Ek Din Mere Ghar Aana Mere Banke Bihari

Ek Din Mere Ghar Aana Mere Banke Bihari, Banke Bihari Mere Kunj Bihari..

Rahe Sang Tera Naam Prabhu Har Pal Mere Jeevan Mein

Rahe Sang Tera Naam Prabhu, Har Pal Mere Jeevan Mein, Nahi Pal Koi Aisa Ho, Jis Pal Tu Na Ho Man Mein Rahen Sang Tera Naam Prabhu, Har Pal Mere Jeevan Mein ॥

Sapane Me Sakhi Dekhyo Nandgopal

Sapne Mein Sakhi Dekhyo Nandgopal, Sawali Suratiya Hatho Me Bansuriya, Aur Ghunghrale Baal

Wo Kala Ek Bansuri Wala

Woh Kala Eik Bansuri Wala, Suddh Bisara Gaya Mori Re । Makhan Chor Woh Nandkishore Jo..

Vo Jo Bhanu Baba Ki Dulari Hai

Aaju Hori Hai Hori Hai Aaju Hori Hai। Rang Birang Rang Pichkaarin, Ang Ang Rang Bori Hai।

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP