Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Rakhwala Pratipala Mera Lal Langote Wala (रखवाला प्रतिपाला, मेरा लाल लंगोटे वाला - भजन)


Rakhwala Pratipala Mera Lal Langote Wala
Rakhwala Pratipala,
Mera Lal Langote Wala,
Kadam Kadam Par Raksha Karta,
Kadam Kadam Par Raksha Karta,
Ghar Ghar Kare Ujala,
Rakhwala Pratipala,
Mera Lal Langote Wala ॥
Nishadin Tera Dhyan Lagaoon,
Japoon Aapki Mala,
Dhup Dip Nit Jyot Jagaoon,
Dhup Dip Nit Jyot Jagaoon,
Pade Na Yam Se Pala,
Rakhwala Prati-pala,
Mera Lal Langote Wala ॥

Man Mandir Mein Vaas Karo Prabhu,
O Anjani Ke Lala,
Papon Ka Mere Nash Karo Tum,
Papon Ka Mere Nash Karo Tum,
Banke Deendayala,
Rakhwala Prati-pala,
Mera Lal Langote Wala ॥

Lal Soorat Mere Man Ko Mohe,
Sheesh Pe Mukut Vishala,
Kanan Kundal Tilak Vishala,
Kanan Kundal Tilak Vishala,
Gal Motiyan Ki Mala,
Rakhwala Prati-pala,
Mera Lal Langote Wala ॥

Ram Siya Tere Man Sohe,
Ajar Amar Teri Maya,
Ghar Ghar Hove Pooja Teri,
Ghar Ghar Hove Pooja Teri,
Siya Sudh Lane Wala,
Rakhwala Prati-pala,
Mera Lal Langote Wala ॥

Lakshman Moorchhit Pade Dharni Par,
Vaidy Bulakar Laya,
Agya Pa Sanjeevan Lane,
Agya Pa Sanjeevan Lane,
Pavan Veg Se Chala,
Rakhwala Prati-pala,
Mera Lal Langote Wala ॥

Rakhwala Pratipala,
Mera Lal Langote Wala,
Kadam Kadam Par Raksha Karta,
Kadam Kadam Par Raksha Karta,
Ghar Ghar Kare Ujala,
Rakhwala Pratipala,
Mera Lal Langote Wala ॥

रखवाला प्रतिपाला, मेरा लाल लंगोटे वाला - भजन हिन्दी में पढ़ें

रखवाला प्रतिपाला, मेरा लाल लंगोटे वाला, कदम कदम पर रक्षा करता...
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBajrangbali BhajanBalaji BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Jayanti BhajanRamyug BhajanLal Langote Wala Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Om Mangalam Omkar Mangalam

Om Mangalam Omkar Mangalam, Om Mangalam Omkar Mangalam, Som Mangalam Saradhar Mangalam

Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai

Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein, Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥ Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Mera Dil Atka Teri Murat Pe

Milne Ko, Milne Ko Tadpade Maiya Ko, Rahti Fir Maa Ko Sawar Nahi, Mera Dil Atka Teri Murat Pe,
Mujhko To Kisi Ki Khabar Nahi ॥

Mere Sang Sang Chalti

Sankat Mein Jhunjhan Wali Ki, Sakalae Dekhi Hai, Mere Sang Sang Chalti, Dadi Ki Parchae Dekhi Hai,
Mere Sang Sang Chalti, Dadi Ki Parchae Dekhi Hai ॥

Ma Dekh Tera Shringar Kare Dil Nachan Ka

Maan Dekh Tera Shringar, Kare Dil Naachan Ka, Naachan Ka Dil Naachan Ka, Chaahe Dekhoon Jitni Baar,
Kare Dil Naachan Ka, Maan Dekh Tera Shringar, Kare Dil Naachan Ka ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP