Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Darbar Hai Jag Sara (राम दरबार है जग सारा: भजन)


Ram Darbar Hai Jag Sara
Ram Darbar Hai Jag Sara,
Ram Hi Teeno Lok Ke Raja,
Sabke Pratipala Saake Aadhaara,
Ram Darbar Hain Jag Sara ॥
Ram Ka Bhed Na Paya Ved,
Nigmahoon Neti Neti Uchchaara,
Ram Darbar Hain Jag Sara.
Ramapati Ram Umapati Shambhoo,
Ek Dooje Ka Naam Ur Dhaara,
Ram Darbar Hain Jag Sara ॥

Teen Lok Mein Ram Ka,
Saza Hua Darbar,
Jo Jahaan Sumire Wahin Daras,
Den Use Ram Udaar.
Jai Jai Ram Siyaram,
Jai Jai Ram Siyaram ॥

Ram Mein Sarv Ram Mein Sab Maahi,
Roop Viraat Ram Sam Naahin,
Jitne Bhi Brahmaand Rache Hain,
Sab Viraat Prabhu Maahi Basen Hain ॥

Roop Viraat Dhare to,
Chaudah Bhuvan Mein Nahin Aate Hain,
Simatie to Hanuman Hriday Mein,
Sita Sahit Samaate Hain ॥

Patit Udharan Deen Bandhu,
Patito Ko Paar Lagaten Hain,
Ber Ber Shabari Ke Haathon,
Ber Prem Se Khaate Hain ॥

Jog Jatan Kar Jogi Jinako,
Janam Janam Nahin Paate Hain,
Bhakti Ke Bas Mein Hokar Ke Ve,
Baalak Bhi Ban Jaate Hain ॥

Yogi Ke Chintan Mein Ram,
Maanav Ke Manthan Mein Ram,
Tan Mein Ram Man Mein Ram,
Srishti Ke Kan Kan Mein Ram ॥

Aati Jaati Shwas Mein Ram,
Anubhav Mein Aabhaas Mein Ram,
Nahin Tark Ke Paas Mein Ram,
Basaten Mein Vishwaas Mein Ram ॥

Ram to Hain Aanand Ke Sagar,
Bhar Lo Jiski Jitni Gaagar,
Keejo Kshama Dosh Truti Swaami,
Ram Namami Namami Namami ॥

Ananta Anant Abheda Abhed,
Aagamya Gamya Paar Ko Paara,
Ram Darbar Hai Jag Sara,
Ram Darbar Hain Jag Sara ॥

राम दरबार है जग सारा: भजन हिन्दी में पढ़ें

राम दरबार है जग सारा, राम ही तीनो लोक के राजा, सबके प्रतिपाला सबके आधारा, राम दरबार हैं जग सारा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanBhagwan Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bolo Har Har Har From Shivaay Movie

Aag bahe teri rag mein, Tujh sa kahan koi jag mein, Hai waqt ka tu hi...

Nand Rani Tero Lala Zabar Bhayo Re

Nand Rani Tero Lala Zabar Bhayo Re/Ri Meri Matki Ulat Ke Palat Gayo Re

Maiya Badhai Hai Badhai Hai

Maiya Badhai Hai Badhai Hai, Baba Badhai Hai Badhai Hai, Braj Mein Ye Kaisi Khushi Chhai Hai, Braj Mein Ye Kaisi Khushi Chhai Hai, Maiya Badhai Hai Badhai Hai, Baba Badhai Hai Badhai Hai ॥

Mari Hundi Swikaro Maharaj Re

Mhari Hundi Sweekaro Maharaj Re, Sanwara Girdhari, Mhane Ek Chhe Tharo Aadhar Re, Sanwara Girdhari..

Nand Baba Ke Angana Dekho Baj Rahi Aaj Badhai

Nand Baba Ke Angna Dekho, Baj Rahi Aaj Badhai, Nagaada Jor Se Baja De, Main Nritya Karan Ko Aayi, Nagaada Jor Se Baja De, Main Nritya Karan Ko Aayi ॥

Mero Man Lagyo Barsane Mei Jaha Viraje Radharani

Mero Man Lagyo Barsane Mein, Jahan Viraje Radha Rani, Man Hatyo Duniyandari Se

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP