Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Shankar Ke Dware Chale Kavariya (शंकर के द्वारे चले काँवरिया - भजन)


Shankar Ke Dware Chale Kavariya
Shankar Ke Dware Chale Kanwariya
Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya
Jay Ho Teri Hey Tripurari
Teen Lok Tujhpe Balihari
Gun Gaen Tere Nar-nari
Shankar Ke Dware Chale Kanwariya
Bhole Ke Dware Chale Kanwariya
Jay Ho Teri Hey Tripurari
Teen Lok Tujhpe Balihari
Gun Gaen Tere Nar-nari

Hey Shakti Trishul Dharan
Raste Mein Jitne Shool Milen
Pairon Mein Chubhen Jitne Kante
Utne Shradha Ke Phool Khile

Bam Bam Bhole Japta Ja
Shambhu Ka Sumiran Karta Ja

Vishwas Agar Dridh Hai Apna
Mushkil Raste Kat Jayenge
Kandhe Pe Lie Ham Kanwar Ye
Kab Teri Sharan Mein Aayenge
Chalte Chalte Chalte Jao
Bam Bhole Ka Dhyan Lagao
Man Mein Sachcha Gyan Jagao
Om Om Om

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya
Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Kaanon Mein Aawajen Aati Hain
Tere Mandir Mein Jo Shankh Baje
Udakar Pahunchenge Dware Tere
Hamko Bhakti Ke Pankh Lage

Bam Bam Bhole Japta Ja
Shambhu Ka Sumiran Karta Ja

Is Man Mein Tere Darshan Ki
Ab Ichchha Ho Gai Tivr Badi
Na Vipda Koi Rok Sake,
Na Rok Sakegi Dhoop Kadi
Chalte Chalte Chalte Jao,
Bam Bhole Ka Dhyan Lagao
Man Mein Sachcha Gyan Jagao,
Om Om Om

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya
Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Shiv Om Ka Jaap Karen,
Raste Ki Kaam Ho Jayegi Doori
Kab Chadhen Kanwariya Dwar Tere,
Kab Ye Abhilasha Ho Poori

Bam Bam Bhole Japta Ja
Shambhu Ka Sumiran Karta Ja

Aankhon Se Gangajal Chhalke,
Hathon Mein Kanwariya Hai Tori
Too Khinch Le Apni Taraph Hamen,
Tere Hath Mein Hai Sabki Dori
Chalte Chalte Chalte Jao,
Bam Bhole Ka Dhyan Lagao
Man Mein Sachcha Gyan Jagao,
Om Om Om

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya
Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya

Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya
Jay Ho Teri Hey Tripurari
Teen Lok Tujhpe Balihari
Gun Gaen Tere Nar-naaree

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya
Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र

शंकर के द्वारे चले काँवरिया - भजन हिन्दी में पढ़ें

शंकर के द्वारे चले काँवरिया, भोले के प्यारे चले काँवरिया..
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanKanwariya BhajanKanwar Yatra BhajanKanwar BhajanAnuradha Paudwal BhajanSuresh Wadkar Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Phoolon Se Angana Sajaungi

Phoolon Se Angna Sajaungi, Jab Maiya Mere Ghar Aaengi । Chandan Chauki Bichhau

Bhawani Maiya Sharda Bhajo Re

Bhawani Maiya Sharda Bhajo Re, Sharda Bhajo Re, Bhar Jehe Sakal Bhandar Re, Bhawani Maiya Ho ॥

Suno Karuna Bhari Ye Pukar

Suno Karuna Bhari Ye Pukar, Dwar Tere Hum Aaye, Tore Angna Lagi Hai Kataar, Dwar Tere Hain Aaye ॥

Mere Ghar Maiya Aai Hai

Mere Ghar Maiya Aai Hai , Soi Takadir Jagai Hai Soi Takadir Jagai Hai, Mere Ghar Maiya Aai Hai , Maiya Ne Bigdi Banai Hai॥

Darash Ko Aa Rahi Hun Maa Meri Ardas Sun Lena

Darash Ko Aa Rahi Hun Maa, Meri Ardas Sun Lena, Mein Khali La Rahi Daman, Mere Daman Ko Bhar Dena, Jay Jay Ambe Maa, Jay Jagdambe Maa ॥

Sherawali Ke Darbar Mein Hoti Hai Sunwai

Sherawali Ke Darbar Mein, Hoti Hai Sunvai, Saare Jag Ki Maharani Ye, Jagdamba Mahamai...

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP