Shri Krishna Bhajan

Suno Suno Ek Kahani Suno (सुनो सुनो, एक कहानी सुनो - भजन)


Suno Suno Ek Kahani Suno
Suno Suno, Suno Suno
Suno Suno Ek Kahani Suno,
Na Raja Ki Na Rani Ki,
Na Aag Hawa Na Pani Ki,
Na Krshna Ki Na Radha Rani Ki,
Doodh Chhalakta Hai Aanchal Se Ho O O,
Doodh Chhalakta Hai Aanchal Se,
Aankh Se Barse Pani,
Maa Ki Mamta Ki Hai Ye Kahani,
Suno Suno Ek Kahani Suno ॥
Ek Bhakt Jo Din Hin Tha,
Katre Mein Rahta Tha,
Maa Ke Gun Gata Tha,
Maa Ke Charan Sada Kahta Tha,
Suno Suno Suno Suno,
Ek Baar Bhairav Ne Usse Kaha Ki Kal Aaenge,
Kai Sadhuo Sahit Tumhare Ghar Khana Khayenge,
Maa Ke Bhakt Ne Socha Kaise Unka Aadar Hoga,
Bin Bhojan Ke Sadhujanon Ka Bada Niradar Hoga,
Suno Suno, Suno Suno

Mata Se Vinti Ki Usne Ann Kahan Se Laun,
Main to Khud Bhukha Hoon Bhojan Kaise Unhen Khilaun,
Maa Ne Kaha Tu Chinta Mat Kar Kal Tu Unhen Bulana,
Unke Saath Ye Sara Gaanv Khayega Tera Khana,
Suno Suno, Suno Suno

Naman Kiya Usne Mata Ko Aa Gaya Ghar Bechara,
Dooje Din Dekha Kya Usne Bhara Hai Sab Bhandara,
Suno Suno, Suno Suno

Us Bhairav Ne Jisne Ye Sara Shadyantr Rachaya,
Kai Sadhuo Sahit Jeemane Ghar Uske Vo Aaya,
Ati Shuddh Bhojan Ko Dekh Ke Bola Maans Khilao,
Jao Hamare Liye Kaheen Se Madira Le Kar Aao,
Suno Suno, Suno Suno

Aag Baboola Ho Gaya Jab Usne Dekha Bhandara,
Krodh Se Bharke Jor Se Usne Mata Ko Lalkara,
Maa Aai to Usne Kas Ke Maa Ke Hath Ko Pakada,
Hath Chhuda Kar Bhagi Mata Dekh Raha Tha Katra,
Apni Raksha Ke Khatir Ek Chamatkar Dikhlaya,
Vo Asthan Chhupi Jaha Mata Garbajoon Kahlaya,
No Maas Ka Chhupkar Maa Ne Wahi Samay Gujara,
Samay Hua Pura Tab Maa Ne Bhairav Ko Sanhara,
Dhad Se Sar Ko Juda Kiya Thi Jwala Maa Ke Andar,
Jaha Gira Sar Bhairav Ka Wahan Bana Hai Bhairav Mandir,
Suno Suno, Suno Suno

Aprampar Hai Maa Ki Mahima Jo Katre Mein Aaye,
Maa Ke Darshan Karke Phir Bhairav Ke Mandir Jaye,
Suno Suno Suno Suno,suno Suno Suno Suno,
Suno Suno Ek Kahani Suno ॥

Suno Suno, Suno Suno
Suno Suno Ek Kahani Suno,
Na Raja Ki Na Rani Ki,
Na Aag Hawa Na Pani Ki,
Na Krshna Ki Na Radha Rani Ki,
Doodh Chhalkta Hai Aanchal Se Ho O O,
Doodh Chhalkta Hai Aanchal Se,
Aankh Se Barse Pani,
Maa Ki Mamta Ki Hai Ye Kahani,
Suno Suno Ek Kahani Suno ॥

सुनो सुनो, एक कहानी सुनो - भजन हिन्दी में पढ़ें

सुनो सुनो एक कहानी सुनो, ना राजा की ना रानी की...
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanVaishno Maa BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mat Rove Aie Dholi Dholi Gay

Mat Rove Ai Dhauli Dhauli Gaay, Duniyaan Mein Ade Koi Na Sukhee, Main To Ekalee Khadee Baan Mein..

Govind Chale Charaavan Dhenu

Govind Chale Charaavan Dhenu । Grh Grh Ten Larika Sab Tere Shrngi Madhur Bajai Benu ॥

Ghada Vajjda Ghadoli Vajjdi

Ghada, Vajjada, Ghadolee Vajjdi॥ Kite, Dammaroo Vajjada... Sun Bhagata॥

Banto Banto Mithai Manao Khushi

Banto Banto Mithai Manao Khushi, Munh Mitha Karvao Avadh Vasiyo । Aaj Van Se Avadh Aa Rahe Hai Prabhu..

Jo Ram Ko Laye Hai Hum Unko Layenge

Jo Ram Ko Laye Hai, Ham Unako Laenge, Duniya Mein Phir Se Ham, Bhagava Laharaenge..

Ram Se Bada Ram Ka Naam Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye

Ram Se Bada Ram Ka Naam, Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye, Banenge Bigde Sab Kaam Re Prani, Udhar Ho Jaye, Ram Se Bada Ram Ka Naam, Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Teri Jay Ho Gauri Lal

Pita Jinake Shiv Mahakal, Bighnao Ko Dete Tal, Puje Jag Tumko Pahale, Rutawa Devo Main Kamal, Hey Naman Tumhai Gananayak, Teri Jay Ho Gauri Lal ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP