Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Tere Mann Mein Ram Tan Mein Ram (तेरे मन में राम, तन में राम: भजन)


Tere Mann Mein Ram Tan Mein Ram
Tere Man Mein Ram,
Tan Mein Ram ॥
Doha – Ram Naam Ki Loot Hai,
Loot Sake to Loot,
Ant Kaal Pachhtayega,
Jab Pran Jayenge Chhoot ॥

Tere Man Mein Ram,
Tan Mein Ram,
Rom Rom Mein Ram Re,
Ram Sumir Le,
Dhyan Laga Le,
Chhod Jagat Ke Kaam Re,
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ॥

Maya Mein Tu Uljha Uljha,
Dar Dar Dhul Udaye,
Ab Kyon Karta Man Bhaari Jab,
Maya Sath Chhudaye,
Din to Beeta Daud Dhup Mein,
Dhal Jaye Na Shaam Re,
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ॥

Tan Ke Bhitar Panch Lutere,
Daal Rahe Hai Dera,
Kaam Krodh Mad Lobh Moh Ne,
Tujhko Aisa Ghera.
Bhul Gaya Tu Ram Ratan,
Bhoola Pooja Ka Kaam Re,
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ॥

Bachpan Beeta Khel Khel Mein,
Bhari Jawani Soya,
Dekh Budhapa Ab Kyon Soche,
Kya Paya Kya Khoya,
Der Nahin Hai Ab Bhi Bande,
Le Le Us Ka Naam Re,
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ॥

Tere Man Mein Ram,
Tan Mein Ram,
Rom Rom Mein Ram Re,
Ram Sumir Le,
Dhyan Laga Le,
Chhod Jagat Ke Kaam Re,
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ॥

तेरे मन में राम, तन में राम: भजन हिन्दी में पढ़ें

तेरे मन में राम, तन में राम, रोम रोम में राम रे, राम सुमीर ले, ध्यान लगा ले, छोड़ जगत के काम रे, बोलो राम बोलो राम, बोलो राम राम राम ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mere Bhole Ki Sawari Aaj ayi

Mere Bhole Ki Sawari Aaj Aayi, Mere Shankar Ki Sawari Aaj Aayi, Jogan Ban Nachungi Main Bhi,
Jogan Ban Nachungi ॥

Shiv Maat Pita Shiv Bandhu Sakha

Shiv Maat Pita, Shiv Bandhu Sakha, Shiv Charnon Mein, Koti Koti Pranam, Shiv Charnon Mein, Koti Koti Pranam ॥

Mere Bhole Baba Aa Gaya Sawan Ka Mela

Mere Bhole Baba Aa Gaya Tera Sawan Ka Mela, Lag Rahi Haridwar Mein Bhid Aa Rahaya Bhagato Ka Rela, Bhole Damru Bajade Ikabe Aage Badake, Mere Bhole Baba Aaja Nandi Pe Chad Ke ॥

Shivratri Ki Mahima Apaar

Shivratri Ki Mahima Apaar, Puja Shiv Ki Karo, Tino Lok Hi Jisko Puje, Sacche Maan Se Milake Sare, Shiv Ka Jaap Karo, Shiv Ka Jaap Karo, Shivratri Ki Mahima Apaar, Puja Shiv Ki Karo ॥

Ajab Hai Teri Maya Ise Koi Samajh Na Paya

Ajab Hai Tei Maya, Ise Koi Samajh Na Paya, Gajab Ka Khel Rachaya, Sabse Badha Hai Tera Naam,

De Do Apni Naukari Ujjain ke mahakal

Bas Itani Si Kirapa Kar Do, Mere Ujjain Ke Mahakal, De Do Apani Nokari, Ujjain Ke Mahakal,
Tera Upakaar Hoga, Tera Upakaar Hoga ॥

Katha Kahiye Bhole Bhandari Ji

Puchhe Pyari Shailkumari Katha Kahiye Bhole Bhandari Ji ।

Shiv Bhajan - Shiv Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP