Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Tune Sir Pe Dhara Jo Mere Hath Ke Ab Tera Sath Nahi Chute (तूने सिर पे धरा जो मेरे हाथ के अब तेरा साथ नहीं छूटे - भजन)


Tune Sir Pe Dhara Jo Mere Hath Ke Ab Tera Sath Nahi Chute
Tune Sir Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Mera Tum Pe Rahe Vishwas,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Tune Sar Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute ॥
Ik Daur Tha Vo Jeevan Ka Mere,
Jab Apne Kinara Kar Baithe,
Kandha Bhi Na Tha Rone Ko Koi,
Dekhe Hain Samay Aise Aise,
Phir Tumse Hui Mulakat,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute
Mera Tum Pe Rahe Vishwas,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Tune Sar Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute ॥

Toophaan Mein Kashti Thi Meri,
Kahin Koi Kinara Na Soojha,
Phir Kisne Nikala Toophaan Se,
Ik Ik Ne Baad Mein Ye Poochha,
Mainne Le Liya Tera Naam,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute
Mera Tum Pe Rahe Vishwas,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Tune Sar Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute ॥

Ab to Bas Ek Tamanna Hai,
Tere Charnon Ka Main Daas Banoon,
Nahin Chinta Koi Fikr Ho Mujhe,
‘Hari’ Teri Sharan Mein Sada Rahoon,
Rahe Kripa Ki Barsaat,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute
Mera Tum Pe Rahe Vishwas,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Tune Sar Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute ॥

Tune Sir Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Mera Tum Pe Rahe Vishwas,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute,
Tune Sar Pe Dhara Jo Mere Hath,
Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute ॥

तूने सिर पे धरा जो मेरे हाथ के अब तेरा साथ नहीं छूटे - भजन हिन्दी में पढ़ें

तूने सिर पे धरा जो मेरे हाथ, के अब तेरा साथ नहीं छूटे, मेरा तुम पे रहे विश्वास, के अब तेरा साथ नहीं छूटे ॥
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aayi Mahadevi Avtar Bhawani More Angna Main

Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein, More Angna Mein Tori Madhiya Mein, Chhain Khushiyan Aprampar, Bhawani Tori Madhiya Mein, Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein ॥

Nit Mahima Mai Gaun Maiya Teri

Sada Jyot Jagaoon Maiya Teri, Nit Mahima Main Gaun Maiya Teri, Mujhe Na Kuch Aur Chahiye ॥

Khel Panda Khel Panda Re

Khel Panda Khel Panda Re, Khel Panda Re

Singh Sawari Mahima Bhari

Singh Sawari Mahima Bhari, Pahadon Mein Asthan Tera, Bramha Vishnu Shiv Shankar Bhi, Karte Maan Gungan Tera ॥

Tum Sharnai Aaya Thakur

Tum Sharnai Aaya Thakur, Tum Sharnai Aaya Thakur ॥ Utari Gaio Mere Man Ka Sansa, Jab Te Daraanu Paia ॥

Jagat Me Koi Na Permanent

Jagat Mein Koi Na Permanent, Tel Chameli Chandan Sabun

Bhagwan Buddha Vandan

Namo Tass Bhagvato Arhato Samma Sambuddhass ।

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP