Aaya Bulawa Bhawan Se (आया बुलावा भवन से: भजन)


Aaya Bulawa Bhawan Se,
Maa Rah Na Pae ॥
Shloka – Tere Darash Ki Dhun Mein Mata,
Hum Hai Huye Matwale,
Rok Saki Na Andhiya Humko,
Na HI Badal Kale,
Chadh Chadh Kathin Chadhaiya,
Beshak Paanv Mein Pad Gae Chhaale,
Phir Bhi Tere Dar Aa Pahunche,
Hum Hai Kismat Wale ॥

Teri Jay Ho Bhawani,
Jay Jay Maharani ॥

Aya Bulawa Bhawan Se,
Mein Rah Na Pae,
Apane Pati Sang Chadh Ke Chadhai,
Nange Paanv Aaee,
Laal Chunari Chadhaun,Jay Ho Maa,
Teri Jyoti Jagaun, Jay Ho Maa,
Bas Itna Bar Chahun,
Darshan Ko Har Saal,
Sada Hi Suhagan Hi Gaun ॥

Teri Jay Ho Bhawani,
Jay Jay Maharani ॥

Hey Akhand Jyot Vali Mata,
Mera Bhi Akhand Suhaag Rahe,
Sada Khanake Chudiyan Mere Hathon Mein,
Sindur Bhari Ye Meri Maang Rahe,
Mahake Parivar, Jay Ho Maa,
Rahe Khili Bahar, Jay Ho Maa,
Kaliyon Ki Tarah Muskuraun,
Kaliyon Ki Tarah Muskuraun,
Darshan Ko Har Saal,
Sada Hi Suhagan Hi Gaun ॥

Teri Jay Ho Bhawani,
Jay Jay Maharani ॥

Apne Bhakto Par Karti Hai,
Upkar Sada,
Mamata Ke Khole Rahati Ho,
Bhandar Sada,
Main To Aai tere Dwaar,Jay Ho Maa,
Mere Bhaagy Sawar, Jay Ho Maa,
Teri Nit Nit Jyot Jagaun,
Teri Nit Nit Jyot Jagaun,
Darshan Ko Har Saal,
Sada Hi Suhagan Hi Gaun ॥

Teri Jay Ho Bhawani,
Jay Jay Maharani ॥

Mujhako Var Do Mera Swami,
Teri Bhakti Mein Magan Rahe,
Jab Tak Yah Jivan Rahe ‘Saral’,
‘Lakkha’ Ko Teri Lagan Rahe,
Tera Sachha Hai Darwar, Jay Ho Maa,
Teri Mahima Apar, Jay Ho Maa,
Charanon Mein Shish Navaun,
Charanon Mein Shish Navaun,
Darshan Ko Har Saal,
Sada Hi Suhagan Hi Gaun ॥

Teri Jay Ho Bhawani,
Jay Jay Maharani ॥

Aya Bulawa Bhawan Se,
Mein Rah Na Pae,
Apane Pati Sang Chadh Ke Chadhai,
Nange Paanv Aaee,
Laal Chunari Chadhaun,Jay Ho Maa,
Teri Jyoti Jagaun, Jay Ho Maa,
Bas Itna Bar Chahun,
Darshan Ko Har Saal,
Sada Hi Suhagan Hi Gaun ॥
आया बुलावा भवन से: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आया बुलावा भवन से, मैं रह ना पाई अपने पति संग चढ़ के चढ़ाई, नंगे पाँव आई, लाल चुनरी चढाऊं, जय हो माँ, तेरी ज्योति जगाऊं, जय हो माँ, बस इतना वर चाहूँ, मैं बस इतना वर पाऊं, दर्शन को हर साल, सदा सुहागन ही आऊं ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aaise Mere Maan Main Virajiye

Aise Mere Man Mein Virajiye Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dhaam Gaoon Bas Tera Naam |

Aao Ji Aao Maiya Aaj

Aao Ji Aao Maiya, Aaj Mhare Aangne, Bhagat Bulave Thane Aaya Sarsi, Bhagat Bulave Thane Aaya Sarsi, Aao Ji Aao Maiya, Aaj Mhare Aangne ॥

Kabhi Durga Banke Kabhi Kali Banke

Kabhi Durga Banke, Kabhi Kali Banke, Chali Aana, Maiya Ji Chali Aana ॥

Shri Ram Teri Mahima Se

Shri Ram Teri Mahima Se, Kaam Ho Gaya Hai, Mandir Banega Rasta, Aasan Ho Gaya, Shri Ram Teri Mahima Se, Kaam Ho Gaya Hai ॥

Ram Naam Japte Hai Masti Mein Rehte Hain

Ram Naam Japate Hai, Masti Main Rahate Hai, Dev Hai Ye Sabse Nirale, Ise Kahate Hai Bajarangbali, O Bala Ise Kahate Hai Bajarangbala ॥