Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai (अनमोल तेरा जीवन, यूँ ही गँवा रहा है: भजन)


Anmol Tera Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai,
Kis Aur Teri Manjil,
Kis Aur Ja Raha Hai,
Anmol Tynra Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai ॥
Sapno Ki Neend Mein Hi,
Yah Raat Dhal Na Jaaye,
Pal Bhar Ka Kya Bharosa,
Kahi Jaan Nikal Na Jaaye,
Ginti Ki Hai Ye Saanse,
Yun Hi Luta Raha Hai ।

Kis Aur Teri Manjil,
Kis Aur Ja Raha Hai,
Anmol Tynra Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai ॥

Jayega Jab Yahan Se,
Koi Na Saath Dega,
Is Hath Jo Diya Hai,
Us Hath Ja Ke Lega,
Karmo Ki Hai Ye Kheti,
Phal Aaj Pa Raha Hai ।

Kis Aur Teri Manjil,
Kis Aur Ja Raha Hai,
Anmol Tynra Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai ॥

Mamta Ke Bandhanon Ne,
Kyon Aaj Tujhko Ghera,
Sukh Mein Sabhi Hai Sathi,
Koi Nahin Hai Tera,
Tera Hi Moh Tujhko,
Kab Se Rula Raha Hai ।

Kis Aur Teri Manjil,
Kis Aur Ja Raha Hai,
Anmol Tynra Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai ॥

Jab Tak Hai Bhed Man Mein,
Bhagwan Se Juda Hai,
Kholo Jo Dil Ka Darpan,
Is Ghar Mein Hi Khuda Hai,
Sukh Roop Ho Ke Bhi Tu,
Duhkh Aaj Pa Raha Hai ।

Kis Aur Teri Manjil,
Kis Aur Ja Raha Hai,
Anmol Tynra Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai ॥

Anmol Tera Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai,
Kis Aur Teri Manjil,
Kis Aur Ja Raha Hai,
Anmol Tynra Jeevan,
Yun Hi Ganva Raha Hai ॥
अनमोल तेरा जीवन, यूँ ही गँवा रहा है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अनमोल तेरा जीवन, यूँ ही गँवा रहा है, किस ओर तेरी मंजिल..
Bhajan Prabhu BhajanVedic BhajanVed BhajanSchool BhajanCollage BhajanArya Samaj BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanShri Prem Bhushan Bhajan

Other Popular Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai Video

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai By Pujya Rajan Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hey Vinay Vinayak Vinati Kara

Hey Vinay Vinayak Vinti Kara, Mhaare Angan Aap Padharo Ji, Nirbal Ra Bal Prabhu Aap Hi Ho, Nirdhan Ra Dhan Prabhu Aap Hi Ho, Man Mandir Mein Satkaar Kara, Mhaare Angan Aap Padharo Ji ॥

Jai Jai Ganpati Gauri Nandan

Jai Jai Ganpati Gauri Nandan, Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu, Tum Riddhi Siddhi Ke Ho Data, Hum Bhaktan Par Balihari Prabhu, Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan, Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye, Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye, Main Apne Duhkh Ko, Main Apne Duhkh Ko Hoon Bisraye, Vo Khushiyan Apne Sath Hai Laye, Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Ganpati Gajvadan Vinayak

Ganpati Gajvadan Vinayak, Thane Pratham Manava Ji, Aana Kaani Mat Na Kariyo, Thari Kirpa Chava Ji, Ganpati Gajvadan Vinayak, Thane Pratham Manava Ji ॥

Ghumta Ghar Aao Mhara Pyara Gajanan

Ghumtada Ghar Aavo, O Mhara Pyara Gajanan, Kheltada Ghar Aavo, O Mhara Pyara Gajanan ॥