Bahe Asuwan Ki Lambi Dhar (बहे असुवन की लंबी धार - भजन)


Bahe Asuwan Ki Lambi Dhar,
Mai Visarjan Mein ॥
Doha – Hum Tere Dwar Mein Aye Maiya,
Jholi Phailaye Baithe Hain,
Hum Teri Aas Mein,
Duniya Bhulaye Baithe Hain ॥

Lagi Bhagtan Ki Bheed Apar,
Mai Visarjan Mein,
Bahe Asuwan Ki Lambi Dhar,
Mai Visarjan Mein ॥

Kaise Karoon Maan Tera Visarjan,
Dukh Mein Bheeg Raha Mera Tan,
Bahati Hai Asuwan Jal Ki Dhara,
Samjhaye Na Samjhe Ye Man,
Kampe Thar Thar Mera Ye Badan,
Mai Visarjan Mein,
Lagi Bhagtan Ki Bheed Apar,
Mai Visarjan Mein ॥

Maan Tumne Kyun Mukhda Moda,
Aaj Chali Kyun Rishta Joda,
Yogi Dasam Din Hai Dukhdai,
Maan Ne Humse Leli Vidai,
Kuchh to Maan Bolo Kaho Hey Maan,
Mai Visarjan Mein,
Lagi Bhagtan Ki Bheed Apar,
Mai Visarjan Mein ॥

Murjhaya Sa Man Ka Bagicha,
Maan Tumne Jisko Tha Seencha,
Ashk Bahati Dil Ki Galiyan,
Sookh Rahi Dil Ki Galiyan,
Ladkhadati Hai Meri Zuba,
Mai Visarjan Mein,
Lagi Bhagtan Ki Bheed Apar,
Mai Visarjan Mein ॥

Kaisi Ghadi Aai Dukhdai,
Leke Chali Maan Aaj Vidai,
Mushkil Mein Hai Pal Ye Hamare,
Kaise Sahunga Teri Judai,
Rote Rote Ye Kahata Hai Man,
Mai Visarjan Mein,
Lagi Bhagtan Ki Bheed Apar,
Mai Visarjan Mein ॥

Lagi Bhagtan Ki Bheed Apar,
Mai Visarjan Mein,
Bahen Asuwan Ki Lambi Dhar,
Mai Visarjan Mein ॥
बहे असुवन की लंबी धार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
लगी भगतन की भीड़ अपार, माई विसर्जन में, बहे असुवन की लंबी धार, माई विसर्जन में ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Bahe Asuwan Ki Lambi Dhar Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani, Teri Shakti Hai Aapar, Koi Paya Nhi Paar, Maiya Jagdambe, Jagdambe,
Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani ॥

Maiya Tumse Meri Choti Si Hai Arji

Maiya Tumse Meri, Choti Si Hai Arji, Mano Ya Na Mano, Aage Teri Marji, Mavadi Rakhle Tu, Charon Ke Paas ॥

Aaungi Aaungi Main Agle Baras Phir Aaungi

Aaungi Aaungi Main Agle, Baras Phir Aaungi, Laungi Laungi Teri, Laal Chunariya Laungi ॥