Bandhu jispe Rakhi wo Kalai chahiye (बाँधु जिसपे राखी, वो कलाई चाहिए: भजन)


Bandhu jispe Rakhi,
wo Kalai chahiye,
Bahana Kahane Wala,
Ek Bhae Chahiye,
Maa Puri Meri Ash kar,
Khadi Mein Kab Se Tere Dar ॥Hire Moti Sona Chandi,
Mangu Kab Maa,
Bangle Ki Bhi Gadi Ki Bhi,
Koi Chah Nahi,
Suna Suna Lage Jag,
Bhae Ke Bina,
Aankh Ho Jaise Roshanai Ke Bina,
Deepak Hun Main Tel Bati Ke Bagair,
Dal Do Maa Jholi Mein,
Murado Wali Kher,
Sari Duniya Na,
Na Khudae Chahiye,
Bahana Kahane Wala,
Ek Bhae Chahiye,
Maa Puri Meri Ash kar,
Khadi Mein Kab Se Tere Dar ॥

Jab Jab Rakhi Ka,
Tyauhar Aae Maa,
Ankhiyon Mein Mere Aansu,
Bhar Aye Maa,
Baat Nahi Maiya Kuch,
Mere Bas Ki,
Lakh Loku Ruk nahi,
Paati Siski,
Har Siski Ne Yahi,
Sikwa Kiya,
Maiya Tune Kahe Ek,
Bhae Na Diya,
Sisakiyon Ki Honi,
Sunavai Chaahiye,
Bahana Kahane Wala,
Ek Bhae Chahiye,
Maa Puri Meri Ash kar,
Khadi Mein Kab Se Tere Dar ॥

Dukh Sukh Bante Jo,
Saral Swabhab Ho,
Pura Mere Maan Ka,
Har Chaw Ho,
Dekh Dekh Mukhda Mein,
Wari Jaungi,
Bandhungi Rakhi Mein,
Tika Lagaungi,
Hogi Jab Saadi,
Phuli Na Samaungi,
Gaungi Main Ghodiyaan,
Shagan Manaungi,
Gaane Ko ‘Lakhkha’,
Bas Badhae Chahiye,
Bahana Kahane Wala,
Ek Bhae Chahiye,
Maa Puri Meri Ash kar,
Khadi Mein Kab Se Tere Dar ॥

Bandhu jispe Rakhi,
wo Kalai chahiye,
Bahana Kahane Wala,
Ek Bhae Chahiye,
Maa Puri Meri Ash kar,
Khadi Mein Kab Se Tere Dar ॥
बाँधु जिसपे राखी, वो कलाई चाहिए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बाँधु जिसपे राखी, वो कलाई चाहिए, बहना कहने वाला, एक भाई चाहिए, माँ पूरी मेरी आस कर, खड़ी मैं कब से तेरे दर ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Balaji Mujhe Apne Dar Pe Bulana

Balaji Mujhe Apne, Dar Pe Bulana, Darshan Se Naino Ki, Pyas Bujhana, Balaji Mujhe Apna, Darshan Dikhana,
Balaji Mujhe Apne, Dar Pe Bulana ॥

Sunte Sabki Pukar Hanuman Ji

Sunate Sabaki Pukaar, Jo Bhi Shraddha Aur Prem Se Hai, Aata Inake Dwar, Bolo Jayakaar,
Jay Bajarangi Bolo Ji Bolo, Jay Bajarangi ॥

Kirtan Hai Veer Bajrang Ka

Kirtan Hai Veer Bajrang Ka, Nach Nach Kar Inko Mana, Tabhi To Baba Ayenge, Ram Gun Gayenge,
Kirtan Hoga Aaj, Kirtan Hoga Aaj ॥

Mere Maan Mein Base Hai Ram Mere Tan Mein Base Hai Ram

Chati Chir Ke Hanuman Ne, Bata Diya Shree Ram, Mere Maan Mein Base Hai Ram, Mere Tan Mein Base Hai Ram, Mere Maan Mein Base Hai Ram, Mere Tan Mein Base Hai Ram ॥

Bajrangbali Tune Kalyug Nihaal Kar Diya

Bajarangabali Tune, Kalayug Nihaal Kar Diya, Sankat Mita Bhagaton Ke, Yun Malaamal Kar Diya,
Bajaranga Bali Tune, Kalayug Nihaal Kar Diya ॥