Banke Bihari Ki Dekh Chhata (बांके बिहारी की देख छटा - भजन)


Banke Bihari Ki Dekh Chhata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ।
Kab Se Khojun Banvari Ko,
Banvari Ko, Giridhari Ko ।
Koi Bata De Uska Pata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Mor Mukut Shyamal Tan Dhari,
Kar Murli Adhran Saji Pyari ।
Kamar Mein Bande Peela Pata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Paniya Bharan Yamuna Tat Aai,
Beech Mein Mil Gaye Krishn Kanhai ।
Phod Diyo Pani Ko Ghata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata.
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Tedi Nazaren Lat Ghunghrali,
Maar Rahi Mere Dil Pe Katari ।
Aur Shyam Varan Jaise Kari Ghata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Milte Hain Use Banke Bihari,
Banke Bihari, Saneh Bihari ।
Radhe Radhe Jis Ne Rata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Banke Bihari Ki Dekh Chhata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ।
बांके बिहारी की देख छटा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बांके बिहारी की देख छटा, मेरो मन है गयो लटा पटा। कब से खोजूं बनवारी को...
Bhajan Shri Krishna BhajanJanmashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Teri Surat Pe Jaun Balihari Rasiya

Teri Surat Pe Jaun Balihar Rasiya, Main to Nachungi Tere Darbar Rasiya ॥

Bhajan: Nache Nandlal Nachave Hari Ki Maiya

Nache Nandlal, Nachave Hari Ki Maiya

Bhajan: Ye Too Prem Ki Baat Hai Udho

Ye to Prem Ki Baat Hai Udho, Bandagi Tere Bas Ki Nahin Hai । Yahaan Sar Deke Hote Saude

Bhaye Pragat Kripala Din Dayala

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari