Banwari Re Jeene Ka Sahara Tera Naam Re (बनवारी रे! जीने का सहारा तेरा नाम रे: भजन)


Banwari Re,
Jeene Ka Sahara Tera Naam Re,
Mujhe Duniya Walon Se Kya Kaam Re ॥
Jhuthi Duniya, Jhuthe Bandhan,
Jhuthi Hai Ye Maya,
Jhutha sans Ka Ana Jana,
Jhuthi Hai Ye Kaya,
Yahan Saancho Tero Naam Re ।

Banwari Re,
Jeene Ka Sahara Tera Naam Re,
Mujhe Duniya Walon Se Kya Kaam Re ॥

Rang Mein Tere, Rang Gayi Girdhar,
Chod Diya Jag Sara,
Ban Gayi Tere Prem Ke Jogan,
Le Ke Man Ektara,
Mujhe Pyara Tera Dham Re ।

Banwari Re,
Jeene Ka Sahara Tera Naam Re,
Mujhe Duniya Walon Se Kya Kaam Re ॥

Darshan Tera, Jis Din Paon,
Har Chinta Mit Jaye,
Jeevan Mera in Charanon Mein,
Aas Ki Jyot Jalaye,
Meri Banh Pakad Lo Shyam Re ।

Banwari Re,
Jeene Ka Sahara Tera Naam Re,
Mujhe Duniya Walon Se Kya Kaam Re ॥


Geetkar: Hasrat Jaipuri
Gayak: Lata Mangeshkar
Sangeetkar: Shankar Jaikishan
Chitrapat: Ek Phool Char Kante (1960)
बनवारी रे! जीने का सहारा तेरा नाम रे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बनवारी रे, जीने का सहारा तेरा नाम रे, मुझे दुनिया वालों से क्या काम रे ॥ झूठी दुनिया, झूठे बंधन...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanEk Phool Char Kaante Bhajan

Other Popular Banwari Re Jeene Ka Sahara Tera Naam Re Video

By Vandana Bhardwaj

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sajado Ghar Ko Gulshan Sa

Saja Do Ghar Ko Gulshan Sa, Awadh Me Ram Aayen Hain | Mere Sarkar Aaye Hain..

Jin Par Kirpa Ram Kare

Ram Naam Aadhar Jinhen, Vo Jal Mein Rah Banate Hain, Jin Par Krpa Ram Karen,

Avadh Me Chhai Khushi Ki Bela

avadh Mein Chhai Khushi Ki Bela, Laga Hai, Avadh Puri Mein Mela । Chaudah Saal Van Mein Bitayen

Chalo Ram Ke Dham Ayodhya, Ram Bulate Hain

Chalo Ram Ke Dham Ayodhya Ram Bulate Hai, Saj Gai Nagri Raghav Ki Hum Khabar Sunate Hain

Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga

Nakoda Ke Bhairav Tumko Aana Hoga, Dam Dam Damru Bajana Hoga । Ham Bhakton Ko Darash Dikhana Hoga