Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye (बेटा जो बुलाए माँ को आना चाहिए: भजन)


Maiya Ji Ke Charnon Me Thikana Chahie ।
Beta Jo Bulaye Man Ko Aana Chahiye ॥
Sun Lo Ai Maa Ke Pyaro, Tum Prem Se Pukaro ।
Ayegi Shera Wali, Jagdambe Mehrawali ॥
Wo Der Na Karegi, Jholi Sada Bharegi ।
Puri Karegi Asha, Mit Jayegi Nirasha ॥
Bigde Karm Saware, Bhav Se Vo Sab Ko Tare ।
Shraddha Aur Prem Se Dhyana Chahiye,
Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye ॥

Akbar Ne Aajmaya, Dhyanu Ne Tha Bulaya ।
He Rajarani Aao, Ambe Bhawani Aao ॥
Jaye Na Laaj Meri, Sun Lo Awaj Meri ।
Darbar Dekhta Hai, Sansar Dekhta Hai ॥
Ghode Ka Sir Kata Hai, Mera Bhi Sir Jhuka Hai ।
Garoor Abhimani Ka Mitana Chahiye,
Beta Jo Bulaye, Maa Ko Aana Chahiye ॥

Vinti Suno Hamari, E Maiya Ai Kanwari ।
Tere Dar Pe Hai Sawali, Jana Nahin Hai Khali ॥
Baithe Hai Dera Dale, Tere Bhakt Bhole Bhale ।
Tere Naam Ke Deewane, Aaye Hai Ja Lutane ॥
Maiya Didaar De Do, Bachcho Ko Pyar De Do ।
Heere Motiyon Ka Na Khajana Chahiye,
Beta Jo Bulaye, Maa Ko Aana Chahiye ॥

Tirlok Chand Raja, Tha Bhakt Vo Bhi Maan Ka ।
Jo Bandagi Bichhayi Sang Khele Mahamai ॥

Dekha Jo Bund Pani, Kahne Laga Bhawani ।
Pani Kahan Se Aaya, Kaisi Rachayi Maya ॥

Kaisa Yah Maajra Hai, Mera to Dil Dara Hai ॥
Maa Iska Raaz Kholo, Ab Kuchh to Muh Se Bolo ।
Kahne Lagi Bhawani, Ai Mool Agyani ॥

Mujh Ko Na Ajmao, Paani Ko Bhool Jao ।
Jidd Na Karo Ai Raja, Kuchh to Daro Ai Raja ॥

Bola Vo Abhimani, Maine Bhi Man Me Thani ।
Ke Raaz Jaan Lunga, Har Baat Maan Lunga ॥

Tab Maiya Boli, Raja Na Bhool Jana Vada ।
Sach Sach to Mai Kahungi, Phir Paas Na Rahungi ॥

Sagar Me Dole Naiya, Mera Bhakt Bole Maiya ।
Har Dam Tujhe Dhyaoon, Phir Bhi Mai Doob Jaoon ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

Kashti Bachao Mata, Shraddha Dikhao Mata ।
Mai Uski Bhi to Maa Thi, Yahan Bhi Thi Wahan Bhi ॥

Chanchal Suna Kahani, Gayab Hui Bhawani ।
Pachta Raha Tha Raja, Chilla Raha Tha Raja ॥

Shakti Ko Na Kabhi Aajmaana Chahiye ।
Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye ॥
Bhakti Bharat Lyrics
बेटा जो बुलाए माँ को आना चाहिए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया जी के चरणों मे ठिकाना चाहिए। बेटा जो बुलाए माँ को आना चाहिए॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanNaveen Chanchal BhajanGupt Navratri BhajanSukhwinder Singh Bhajan

Other Popular Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye Video

Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye - Narendra Chanchal

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mujhe Radhe Radhe Kahana Shikhade

Mujhe Radhe Radhe Kahana Sikha De, Kanhaiyan Tera Kya Bigde, Vrindavan Jaoon Tere Gun Gaoon, Charnon Ki Dhooli Ko Mathe Se Lagaoon..

Hey Karuna Mayi Radhe Mujhe Bas Tera Sahara Hai

Hai Karuna Mayi Radhen, Mujhe Bas Tera Sahara Hai, Apna Lo Mujhe Shyama

Mishri Se Mitho Naam

Mishri Se Mitho Naam, Hamari Radha Rani Ko, Radha Rani ko, Hamari Shyam Pyari Ko, Mishri Te Mitho Naam, Hamari Radha Rani Ko ॥

Mhari Pat Rakho Gopal Ek Bas Tharo Saharo Hai

Mhari Pat Rakho Gopal, Ek Bas Tharo Sahaaro Hai,Thodi Karlyo the Mhari Sambhal...