Bhagwan Tumhare Charno Mein Main Tumhe Rijhane Aaya Hun (भगवान तुम्हारे चरणों में, मैं तुम्हे रिझाने आया हूँ - भजन)


Bhagwan Tumhare Charnon Mein,
Main Tumhe Rijhane Aaya Hoon,
Vani Main Tanik Mithas Nahi,
Par Vinay Sunane Aaya Hoon ॥
Prabhu Ka Charanamrit Lene Ko,
Hai Paas Mere Koi Patra Nahi,
Aankho Ke Dono Pyalo Main,
Kuch Bheekh Mangne Aaya Hoon,
Bhagwan Tumhare Charno Mein,
Main Tumhe Rijhane Aaya Hoon ॥

Tumase Lekar Kya Bhent Dharu,
Bhagwan Aap Ke Charnon Mein,
Main Bhikshuk Hoon Tum Data Ho,
Sambandh Batane Aaya Hoon,
Bhagwan Tumhare Charno Mein,
Main Tumhe Rijhane Aaya Hoon ॥

Seva Ko Koi Vastu Nahi,
Phir Bhi Mera Saahas Dekho,
Ro Ro Kar Aaj Aansuo Ka,
Main Haar Chadane Aaya Hoon,
Bhagwan Tumhare Charno Mein,
Main Tumhe Rijhane Aaya Hoon ॥

Bhagwan Tumhare Charno Mein,
Main Tumhe Rijhane Aaya Hoon,
Vani Main Tanik Mithas Nahi,
Par Vinay Sunane Aaya Hoon ॥
भगवान तुम्हारे चरणों में, मैं तुम्हे रिझाने आया हूँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भगवान तुम्हारे चरणों में, मैं तुम्हे रिझाने आया हूँ, वाणी मैं तनिक मिठास नही, पर विनय सुनाने आया हूँ ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥