Bin Pani Ke Naav (बिन पानी के नाव: भजन)


Bin Paani Ke Naav Khe Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
Bhookhen Uthate Hai Bhookhe to Sote Nahin,
Duhkh Aata Hai Humpe to Rote Nahin,
Din Raat Khabar Le Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥

Uske Lakhon Deewane Bade Se Bade,
Uske Charnon Mein Kankar Ke Jaise Pade,
Phir Bhi Awaz Meri Sun Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥

Mera Chhota Sa Ghar Mahlon Ki Rani Maan,
Meri Aukat Kya Maharani Hai Maan,
Saath ‘banwari’ Maan Rah Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥

Jyada Kahta Magar Kah Nahin Pa Raha,
Aansu Bahata Magar Bah Nahin Pa Raha,
Dil Se Awaz Ye Aa Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥

Bin Paani Ke Naav Khe Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
बिन पानी के नाव: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बिन पानी के नाव खे रही है, माँ नसीब से ज्यादा दे रही है ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Maa Tenu Milne Lai

Maa Tainun Milne Lai Duron Chal Aaya Han, Niki-Niki Kanjakan Lai Chudiyan Lai Aaya Han।

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Kitna Roi Parvati Shivnath Ke Liye

Kitna Roi Parvati, Shivnath Ke Liye, Main To Pran Bhi Taj Dungi, Bholenath Ke Liye, Sabne Kitna Samjhaya,
Par Na Mani Mahamaya ॥

Shiv Parvati Ne Tumhe Vardan De Diya

Kalayug Mein Bhav Se Paar, Chaaho Bhakto Jo Jaana, Gauri Gajananan Ko Sada, Man Se Hi Dhyaana, Bhakto Ke Man Mein Tumne, Apna Sthaan Kar Diya, Shri Ganesh Ye Kalyug, Tumhare Naam Kar Diya ॥

Sheesh Gang Ardhang Parvati

Sheesh Gang Ardhang Parvati, Sada Virajat Kailasi । Nandi Bhrngi Nrty Karat Hain, Dharat Dhyan Sur Sukhrasi ॥