Daal Rahi Varmala Ab To Janaki (डाल रही वरमाला अब तो जानकी: भजन)


Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Dhanush Toda Shiv Ji Ka,
Shree Ram Ji Ne,
Janak Nandini Maan Mein Harash Gae Hai ,
Vidhata Meri Purn Ki Kamanaen,
Khusi Ki Suhani Ghadi Aa Gae Hai ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi,
Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Ab Janak Ki Purn Abhilasha Hui Sari,
Mit Gaya Santap Jabase Dil Mein Tha Bhari,
Dal Varamala Siya Ne Ram Pae Hai,
Aaj Sakhiyon Ne Bhi Mangal Geet Gae Hai,
Mahima Aprampar Inke Naam Ki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Ved Mantro Ki Dhvani Ab Gunjane Lagi,
Is Khushi Mein Veviyan Sab Jhumane Lagi,
Aaj Shubh Din Ham Sabhi Ke Jeevan Mein Aaya,
Siyaram Ke Naam Se Har Dil Hai Muskaya,
‘Hema’ Ramayan Hai Svabhiman Ki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi,
Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥
डाल रही वरमाला अब तो जानकी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
डाल रही वरमाला अब तो जानकी, जय बोलो जय बोलो सीताराम की, फूलों की बारिश यहाँ पे हो रही, कृपा हो गई आज श्री भगवान की, डाल रहीं वरमाला अब तो जानकी, जय बोलो जय बोलो सीताराम की।।
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Prabhuji Tum Bin Kaun Sahara

Jo Ganpati Ko Dhyaye,Param Sukhi Ho Jaye । Jo Shankar Ko Pooje,Vipda Paas Na Aaye ॥

Hui Galiyon Mein Jai Jaikaar

Naachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Nachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Goonji Ganpati Teri Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar, Hui Galiyon Mein Jai Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥

Shankarji Ka Damroo Baje From Movie Bal Ganesh

Shankar Ji Ka Damroo Baje Parvati Ka Nandan Nache ॥ Barphile Kailashikhar Par, Jay Ganesh Ki Dhoom

Sham Sakhiyan to Darda Mara

Sham Sakhiyon Se Darda Mara, Sham, Sakhiyon Se, Darda Mara ॥ O, Murli, Chhupai Rakhta... Jay Ho... ॥ O, Murli, Chhupai Rakhta... ॥

Aao Vinayak Mhare Aanganiye Padharo

Aao Vinayak Mhare, Aanganiye Padharo, Bhakta Ra Karaj Saro Ji, Han Sanvaro ji, Aao Vinayak Mhare,
Aanganiye Padharo ॥