Data Ek Ram Bhikhari Sari Duniya (दाता एक राम, भिखारी सारी दुनिया: भजन)


Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ।
Ram Ek Devta,
Pujari Sari Duniya ॥
Dwaare Pe Uske Jaake,
Koi Bhi Pukarta,
Param Krpa De Apanee,
Bhav Se Ubhaarata ।
Aise Deenanath Pe,
Balihari Sari Duniya,
Balihari Sari Duniya,
Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ॥

Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ।
Ram Ek Devta,
Pujari Sari Duniya ॥
Data Ek Ram, Data Ek Ram

Do Din Ka Jeevan Prani,
Kar Le Vichar Tu,
Pyare Prabhu Ko Apne,
Man Mein Nihaar Tu ।
Bina Hari Naam Ke,
Dukhiyari Sari Duniya,
Dukhiyari Sari Duniya,
Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ॥

Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ।
Ram Ek Devta,
Pujari Sari Duniya ॥
Data Ek Ram, Data Ek Ram

Naam Ka Prakash Jab,
Andar Jagayega,
Pyare Shri Ram Ka Tu,
Darshan Payega ।
Jyoti Se Jiski Hai,
Ujayari Sari Duniya,
Ujayari Sari Duniya,
Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ॥

Data Ek Ram,
Bhikhari Sari Duniya ।
Ram Ek Devta,
Pujari Sari Duniya ॥
Data Ek Ram, Data Ek Ram
दाता एक राम, भिखारी सारी दुनिया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दाता एक राम, भिखारी सारी दुनिया । राम एक देवता, पुजारी सारी दुनिया ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanAnup Jalota Bhajan

Other Popular Data Ek Ram Bhikhari Sari Duniya Video

Deepika Birjuka

Daata Ek Ram, Bhikhari Saari Dunia By Pujya Shri Rajeshwaranand Ji Maharaj.

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥