Bhajan: Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai (धरा पर अँधेरा बहुत छा रहा है - भजन)


Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai ।
Diye Se Diye Ko Jalana Padega ॥
Ghana Ho Gaya Ab Gharon Mein Andhera ।
Badha Ja Raha Mandiron Mein Andhera ॥
Nahin Hath Ko Hath Ab Soojh Paata ।
Hamen Panth Ko Jagmagana, Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥

Karen Kuch Jatan Swach Dikhen Dishayen ।
Bhramit Phir Kisi Ko Karen Na Nishayen ॥
Andhera Nirakunsh Hua Ja Raha Hai ।
Hamen Dambh Uska Mitana Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥

Visham Vishdharon Si Badhi Roodhiyan Hain.
Jakad Ab Gayin Manavi Peedhiyan Hain ॥
Khumari Bahut Chha Rahi Hai Nayan Mein.
Naye Rakt Ko Ab Jagana Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥

Pragati Rokti Khokhli Manyatayen ।
Jatil Andhvishwas Ki Dushprathayen ॥
Yahi Vighn । Kante Hamen Chhal Chuke Hain ।
Hamen in Sabon Ko Hatana Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥

Hamen Lobh Hai Is Kadar Aaj Ghere ।
Vivahon Mein Ham Ban Gaye Hain Lutere ॥
Pralobhan Yahan Ab Bahut Badh Gaye Hain ।
Hamen Unmen Ankush Lagana Padega ॥

Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai ।
Diye Se Diye Ko Jalana Padega ॥

॥ Muktak ॥
Lakshy Pane Ke Liye,
Sabko Satat Jalana Padega ।
Metne Ghan Timir Ravi Ki,
God Mein Palna Padega ॥

Raah Mein Toophan Aaye,
Bijliyan Hamko Darayen ।
Deep Bankar Vikat,
Jhanjhavat Mein Jalna Padega ॥
धरा पर अँधेरा बहुत छा रहा है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
धरा पर अँधेरा बहुत छा रहा है। दिये से दिये को जलाना पड़ेगा॥ घना हो गया अब घरों में अँधेरा...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Ram Mere Ghar Ayenge Ayenge Prabhu Ayenge

Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand, Ramcharitmanas Ka

Ram Naam Se Jagmag Hai

Mere Ghar Ka Kona-Kona, Ram Naam Se Jagmag Hai, Pade Charan Tere Mere Ghar Ghar, Charon Dham Sa Jagmag Hai...

O Maiya Tene Ka Thani Man Me

O Maiya Taine Ka Thani Man Mein, Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein, Deewani Taine Ka Thani Man Mein...

Mann Tarpat Hari Darshan Ko Aaj

Mann Tarpat Hari Darshan Ko Aaj More Tum Bin Bigde Sakal Kaaj Vinti Karat Hoon Rakhiyo Laaj

Jinke Hridey Shri Ram Base

Jinke Hridey Shri Ram Base, Un Aur Ko Naam Liyo Na Liyo । Jinke Hridey Shri Ram