Din Jindagi ke Char Chahe kam dena (दिन जिंदगी के चार, चाहे कम देना: भजन)


Din Jindagi ke Char,
Chahe kam dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena,
Teri Chokhat Pe,
Janam Maran Dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena ॥
Tere darwar Ki,
Main Karun Chakri,
Dar Pe Bhajno Se,
Lagti Rahe Hajri,
Meri Arji Main,
Thoda Wajan Dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena ॥

Ek Pal Na Bisru,
Main Baba Tujhe,
Sukh Main Dukh Main,
Pukaru Prabhu Main Tujhe,
Meri Vani Main,
Shyam Itna Dam Dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena ॥

Tere Charon Ki Raj,
Sada Mathe Dharun,
Teri Sewa Main,
Tanaman Samarpit Karun,
Ase Achhe To,
Mujhko Karam Dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena ॥

Jindegi Ka Mere,
Jab Ho Antim Saphar,
Tere Charnon Main,
Rakha Ho ‘Romi’ Ka Sar,
Mere Tan Pe Tere,
Naam Ka Kaphan Dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena ॥

Din Jindagi ke Char,
Chahe kam dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena,
Teri Chokhat Pe,
Janam Maran Dena,
Mujhe Khaatu Mein Agala,
Janam Dena ॥
दिन जिंदगी के चार, चाहे कम देना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दिन जिंदगी के चार, चाहे कम देना, मुझे खाटू में अगला, जनम देना, तेरी चौखट पे, जनम मरण देना, मुझे खाटू में अगला, जनम देना ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Dont Worry Maiya Hai Pass Khadi

Ab to, Tum Na, Ghabrao, Maiya Ji Ke, Gun Gao । Har Sankat, Mit Jaega, Ek Bar, Milkar Gao ॥ Dont Worry, Maiya Hai, Paas Khadi X॥-॥

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥