Diwali ka Tayohar Hai (दिवाली का त्यौहार है - भजन)


Diwali Ka Tayohar Hai,
Jhoom Utha Sansar Hai,
Khush Sabhi Parivar Hain,
Avadhapuri Mein Jakar Dekho,
Deepon Ki Katar Hai.....
Koi Aangan Leep Raha Hai Koi Kare Putai Hai,
Khushi Khushi Sab Nariyon Ne Rangoli Sajai Hai,
Saje Sabhi Ke Dvar Hain Ma Jhoom Utha Sansar Hai,
Khush Sabhi Parivar Hain,
Avadhapuri Mein Jakar Dekho,
Deepon Ki Katar Hai.....

Chaudah Baras Ke Baad Hamaare Ram Ayodhya Aaye Hai,
Raaj Tilak Jab Hua Prabhu Ka Nar Nari Harshaye Hain,
Goonje Jay Jayakar Hain Jhoom Utha Sansar Hai,
Khush Sabhi Parivar Hain,
Avadhapuri Mein Jakar Dekho,
Deepon Ki Katar Hai.....

Ghar Ki Saaf Saphai Karalo Lakshmi Maiya Aaengi,
Shri Ganesh Bhi Sath Padhare Ghar Ghar Khushiyan Chhaengi,
Dhang Se Bhare Bhandar Hain Jhoom Utha Sansar Hai,
Khush Sabhi Parivar Hain,
Avadhapuri Mein Jakar Dekho,
Deepon Ki Katar Hai......

Nagar Nagar Mein Ganv Ganv Mein Patakhon Ka Shor Hai,
Khushiyon Ke Anaar Phootate Dekho Charon Aur Hain,
Mithai Bhi Taiyar Hain Jhoom Utha Sansar Hain,
Khush Sabhi Parivar Hain,
Avadhapuri Mein Jakar Dekho,
Deepon Ki Katar Hai.....
दिवाली का त्यौहार है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दिवाली का त्यौहार है, झूम उठा संसार है, खुश सभी परिवार हैं, अवधपुरी में जाकर देखो, दीपों की कतार है
Bhajan Diwali Lakshmi Ganesh Puja BhajanVighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanDeepavali BhajanMata Lakshmi BhajanBhagwan Ganesh BhajanDiwali BhajanDeepavali Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥

Girija Ke Chheya Ganpati Tumhe Pukaru

Girija Ke Chheya, Ganpati Tumhe Pukaru, Poojun Main Tumhe, Aarati Teri Utarun, Girija Ke Chheya ॥

Mahalaxmi Jaap Karo

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam, Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Mere Mohan Tera Muskurana

Mere Mohan Tera Muskurana, Bhool Jaane Ke Kabil Nahin Hai, Chot Khayee Hai Jo Mainne Dil Mein, Vo Dikhane Ke Kabil Nahin Hai