Ek Daal Do Panchhi Re Baitha (एक डाल दो पंछी बैठा - भजन)


Ek Daal Do Panchhi Baitha,
Kaun Guru Kaun Chela,
Guru Ki Karni Guru Bharega,
Chela Ki Karni Chela Re Sadhu Bhai,
Ud Ja Hans Akela ॥
Maati Chun Chun Mahal Banaya,
Log Kahe Ghar Mera,
Na Ghar Tera Na Ghar Mera,
Na Ghar Tera Na Ghar Mera,
Chidiya Rain Basera Re Sadhubhai,
Ud Ja Hans Akela ॥

Maat Kahe Ye Putra Hamara,
Bahan Kahe Ye Vira,
Bhai Kahe Ye Bhuja Hamari,
Bhai Kahe Ye Bhuja Hamari,
Naari Kahe Nar Mera Re Sadhubhai,
Ud Ja Hans Akela ॥

Pet Pakad Ke Mata Roi,
Banh Pakad Ke Bhai,
Lapat Jhapat Ke Tiriya Roye,
Lapat Jhapat Ke Tiriya Roye,
Hans Akela Jai Re Sadhubhai,
Ud Ja Hans Akela ॥

Kaudi Kaudi Maya Jodi,
Jod Bharela Thaila,
Kahat Kabir Suno Bhai Sadho,
Kahat Kabir Suno Bhai Sadho,
Sang Chale Na Dhela Re Sadhubhai,
Ud Ja Hans Akela ॥

Ek Daal Do Panchhi Baitha,
Kaun Guru Kaun Chela,
Guru Ki Karni Guru Bharega,
Chela Ki Karni Chela Re Sadhu Bhai,
Ud Ja Hans Akela ॥
एक डाल दो पंछी बैठा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
उठ जाग मुसाफिर भोर भई, अब रैन कहाँ जो सोवत है।..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanNirgun Bhajan

Other Popular Ek Daal Do Panchhi Re Baitha Video

Master Rana

By Gyanendra Sharma

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalti Hai Saari Srishti Mahakal Ke Dar Se

Mere Mahakal Ki To Duniya Hi Dewani Hai, Banate Bigadi Sabaki Bhole Aughadadani Hai, Aasara Paaya Hai Krshna Ne Baba Tere Hi Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se ॥

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar ॥

Shankar Ke Dware Chale Kavariya

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya, Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Main Beta Hun Mahakal Ka

Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka, Bhole Baba Mere Hai, Main Beta hun Mahakal Ka, Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka ॥

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe । Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe ॥