Ek Din Bole Prabhu Ramchandra (एक दिन बोले प्रभु रामचंद्र - भजन)


Ek Din Bole Prabhu Ramchandra,
Main Mann Ki Baat Batata Hoon,
Tum Lete Raho Hanuman Yahan,
Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Hanuman Hue Hairan Ye Sun,
Bole Aisa Na Sambhav Hai,
Malik Sevak Ke Dabaye Charan,
Ye Nath Nahi Ye Sambhav Hai,
Ye Maha Paap Hai Mere Prabhu,
Main Jeete Ji Mar Jaunga,
Tum Lete Raho Hanuman Yahan,
Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Prabhu Ram Ki Vani Sunkar Ke,
Hanuman Bade Hairan Huye,
Ichchha Ajeeb Mere Ram Ki Hai,
Ye Sun Ke Bade Pareshan Huye,
Yeh Bhi Nahin Sambhav Hai Prabhu,
Jab Hoga Main Batlaunga,
Tum Lete Raho Hanuman Yahan,
Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Treta Ke Baad Yug Dwapar Hai,
Dwapar Mein Avsar Paoge,
Main Murli Bankar Aaunga,
Tum Kanha Ban Kar Aaoge,
Honthon Se Lagana Tum Mujhko,
Main Tere Bhakt Nachaunga,
Tum Lete Raho Hanuman Yahan,
Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Ye Tum Jaano Ya Main Jaanu,
Prabhu or Koi Ye Jaane Na,
Murli Ke Roop Mein Hanumat Hai,
Ye Ram Siva Koi Jaane Na,
Dono Ki Rahegi Maryada,
Main Doshi Na Kehlaunga,
Tum Lete Raho Hanuman Yahan,
Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra,
Main Mann Ki Baat Batata Hoon,
Tum Lete Raho Hanuman Yahan,
Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram,
Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥
एक दिन बोले प्रभु रामचंद्र - भजन - हिन्दी में पढ़ें
एक दिन बोले प्रभु रामचंद्र, मैं मन की बात बताता हूँ, तुम लेटे रहो हनुमान यहाँ, मैं तेरे चरण दबाता हूँ ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..

Chhathi Maiya From The Vvaan

The Vvaan Movie Song: Chhathi Maiya Sun Lee Na Vinati, Sun Lee Vinati Hamaar, Chhathi Maiya Kar Di Na Kripa..