Hey Jyoti Roop Jwala Maa (हे ज्योति रूप ज्वाला माँ - भजन)


Hey Jyoti Roop Jwala Maan,
Teri Jyoti Sabse Nyari Hai ।
Har Ek Jan Iska Parvana,
Har Ek Jaan Iska Pujari Hai ॥
Jay Maan Sherawali Jay Maan Jyotawali
Jab Kuchh Bhi Na Tha Is Dharti Par,
Teri Jyoti Ka Noor Nirala Tha ।
Na Suraj, Chanda, Tare the,
Teri Jyoti Ka Hi Ujala Tha ।
Kaisi Hogi Teri Jyoti,
Jab Suraj Ek Chingari Hai ॥
Jay Maan Sherawali Jay Maan Jyotawali ॥

Jis Ghar Mein Jyoti Jalati Hai,
Wah Ghar Pavan Ho Jaata Hai ।
Jyoti Se Jyoti Mil Jaati,
Wah Jag Mein Amar Ho Jaata Hai ।
Yah Jyoti Jeevan Deti Hai,
Yah Jyoti Palanhari Hai ।
Jay Maan Sherawali Jay Maan Jyotawali ॥

Dharti Ka Seena Cheer Ke Maan,
Paataal Lok Se Aai Hai ।
Iski Leela Ka Ant Nahin,
Kan-kan Mein Yahi Samay Hai ।
Nirbal Ko Shakti Deti Hai,
Yah Shakti Atul Tumhari Hai ।
Jay Maan Sherawali Jay Maan Jyotawali
हे ज्योति रूप ज्वाला माँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
द्वारे तिहारे बड़ी भीड़ हो जगदम्बे-अम्बे, मैया द्वारे तेरे कन्या पुकारे...
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanVaishno Maa BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanAnuradha Paudwal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Mujhe Dar Par Bula Le Ek Baar

Chitthi Likhi Hai Mainne, Ansuon Ki Syahi Se, Pahuncha Dena Sandesha Mera, Kisi Rahi Se।

Phool Dei, Chamma Dei Geet

Kya Kya Kamaya Humne, Aao Hisab Kar Le, Duniya Ki Baat Chhode, Apni Kitab Padh Le...