Ho Sake Jo Agar Shyam Mere (हो सके जो अगर श्याम मेरे: भजन)


Ho Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao,
Maaf Kar Do Meri Galtiyon Ko,
Shyam Apne Se Lagao,
Hon Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao ॥
Ek Aawaz Bhitar Se Aaye,
Jo Kiya Vo Sahi Na Kiya Hai,
Nasamajh Tha Na Samajha Ishara,
Tune Har Baar Mujhko Diya Hai,
Na Main Doonga Shikayat Ka Mauka,
Lo Sharan Tum Charan Mein Bithao,
Maaf Kar Do Meri Galtiyon Ko,
Shyam Apne Se Lagao,
Hon Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao ॥

Mera Koi Nahin Bin Tumhare,
Chhod Dena Nahin Meri Baahen,
Jaane Anjaane Mein Chal Pada Tha,
Ab Na Dekhunga Mudke Vo Raahe,
Main Chalunga Unhi Raaston Pe,
Hath Thaame Jidhar Tum Chalao,
Maaf Kar Do Meri Galtiyon Ko,
Shyam Apne Se Lagao,
Hon Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao ॥

Vakt Bita Badal Na Sakunga,
Jo Bacha Hai Use Tum Sambhalo,
Main Bhanwar Mein Kahi Kho Na Jaoon,
Naav Laharon Se Meri Bacha Lo,
Kaachi Maati ‘Sachin’ Ki Hai Baba,
Dhaal Saanche Mein Jaisa Banao,
Maaf Kar Do Meri Galtiyon Ko,
Shyam Apne Se Lagao,
Hon Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao ॥

Ho Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao,
Maaf Kar Do Meri Galtiyon Ko,
Shyam Apne Se Lagao,
Hon Sake Jo Agar Shyam Mere,
Jo Hua So Hua Bhool Jao ॥
हो सके जो अगर श्याम मेरे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हो सके जो अगर श्याम मेरे, जो हुआ सो हुआ भूल जाओ, माफ़ कर दो मेरी गलतियों को, श्याम अपने से लगाओ, हों सके जो अगर श्याम मेरे, जो हुआ सो हुआ भूल जाओ ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥