Jagmag Hui Ayodhya Nagari Sant Kare Gungan (जगमग हुईं अयोध्या नगरी, सन्त करें गुणगान - भजन)


Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Ratan Sinhasan Ram Virajen,
Aai Ghadi Mahan,
Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman,
Ankhiyan Taras Gai Sadiyon Se,
Jhume Sakal Jahan,
Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥
Tadap Rahe The Bhakta Ram Ke,
Kab Wo Subh Din Aaye,
Santon Ka Sankalp Avadh Mein,
Prabhu Ka Ghar Ban Jaye,
Maan Main Tha Biswas Ek Din,
Prabhu Mandir Main Aaye,
Iske Khatir Bhakt Hajaro,
Ho Gaye Hai Kurvan,
Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman,
Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥

Jale Deep Baj Rahe Nagade,
De Jayaghosh Sunae,
Jan- Jan Mein Khushiyan Hai Chhae,
Ghadi Suhani Aae,
Bharat Maa Ke Hruday Patal Par,
Bajne Lagi Shehnae,
Bhakton Ke Bhagwan Biraje,
Santon Ke Armaan,
Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman,
Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥

Ratan Sinhasan Ram Virajen,
Aae Ghadi Mahan,
Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman,
Ankhiyan Taras Gae Sadiyon Se,
Jhume Sakal Jahaan,
Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥
जगमग हुईं अयोध्या नगरी, सन्त करें गुणगान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जगमग हुई अयोध्या नगरी, रतन सिंहासन राम विराजें, आई घड़ी महान, धूमधाम से अवधपुरी में, हो मंदिर निर्माण, अँखियाँ तरस गई सदियों से, झूमे सकल जहान, जगमग हुईं अयोध्या नगरी, सन्त करें गुणगान ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..