Jaipur Se Layi Main Chunri (जयपुर से लाई मैं तो चुनरी: भजन)


Jaipur Se Lai Main to,
Chunri Rangvai Ke,
Gota Kinari Apne,
Hatho Lagvai Ke,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥
Chanda Ki Kirnon Se,
Sooraj Ki Laali Se,
Neele Samandar Se,
Van Ki Hariyali Se,
Rang Mange Chunri Khatir,
Kudrat Matvaali Se,
Duniya Ki Najro Se,
Rakhi Bachai Ke,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥

Jaipur Se Lai Main to,
Chunri Rangvai Ke,
Gota Kinari Apne,
Hatho Lagvai Ke,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥

Rimjhim Phuhaaron Ki Jab,
Sawan Rut Aaegi,
Sakhiyon Sang Jhoola Jhoolne,
Maiya Jab Jaegi,
Jhoole Sang Aasman Mein,
Chunri Laharayegi,
Rah Jaaye Indradhanush Ke,
Rang Sharmaike,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥

Jaipur Se Lai Main to,
Chunri Rangvai Ke,
Gota Kinari Apne,
Hatho Lagvai Ke,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥

Maiya Ke Mann Bhaegi,
Chunri Nirali Ye,
Mushkil Ghadi Mein Hogi,
Meri Rakhwali Ye,
Chunri Ke Rang Mein Lakhkha,
Zindagi Rangvali Ye,
Chunri Mein Maat Saral Ko,
Rakhna Chhupaike,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥

Jaipur Se Lai Main to,
Chunri Rangvai Ke,
Gota Kinari Apne,
Hatho Lagvai Ke,
Maiya Ko Odhaungi,
Dware Pe Jaike ॥
जयपुर से लाई मैं तो चुनरी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जयपुर से लाई मैं तो, चुनरी रंगवाई के, गोटा किनारी अपने..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanLakhbir Singh BhajanLakha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Maa Tu Hi Tu

Maan Tu Hi Tu Maye Tu Hi Tu, Maan Tu Hi Tu Maye Tu Hi Tu ॥

Meri Maiya Tumhe Arpan Bhala Hum Kya Kare

Meri Maiya Tumhe Arpan, Bhala Hum Kya Karen, Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala, Dam Kya Bharen, Meri Maiya Tumhen Arpan, Bhala Hum Kya Karen ॥

Badi Mushkil Se Aai Tere Dar

Badi Mushkil Se Aai Tere Dar, Aash Puri Maa Kar Dena Meri, Liye Sankat Hajaro Ke Haar, Aaj Chinta Maa Har Lena Meri, Badi Mushkil Se Aai Tere Dar, Aash Puri Maa Kar Dena Meri ॥