Jan Jan Ka Udhar Karegi Ram Katha (जन जन का उद्धार, करेगी राम कथा - भजन)


Jan Jan Ka Uddhaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥
Ram Lakhan Priya Bharat Shatrughn,
Sang Jaanaki Anjani Nandan,
Man Mandir Darbaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Katha Jit Ki Haar Nahi Hai,
Milta Turat Udhaar Nahi Hai,
Saphal Nagad Vyapaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Dharam Karm Karuna Shraddha Se,
Nyaay Neeti Nit Maryada Se,
Ram Rajya Saakaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Ram Katha Jo Shravan Karate,
Saral Prem Se Sunane Aate,
Unko Bhav Se Paar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Jan Jan Ka Uddhaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥
जन जन का उद्धार, करेगी राम कथा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जन जन का उद्धार, करेगी राम कथा, जन जन का कल्याण, करेगी राम कथा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Ghadd De Sunar Kangna

Ghrara De Sunar Kangana Maiya Ko Pahnaungi ॥ Kangan Jo Pahane Maiya Balihari Jaungi॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Radha Dundh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha Dhundh Rahi Kisi Ne Mera Shyam Dekha, O Bansi Bajate Hue, Oradha Tera Shyam Dekha
॥