Kis Vidhi Vandan Karun Tiharo Aughardani (महेश वंदना: किस विधि वंदन करू तिहारो - भजन)


Kis Vidhi Vandan Karun Tiharo,
Aughardani Tripurari
Balihari - Balihari
Jay Mahesh Balihari ॥
Nayan Tin Upavit Bhujanga,
Shashi Lalaat Sohe Sir Ganga
Mund Maal Gal Bich Virajat,
Mahima Hai Bhari ।
Balihari - Balihari
Jay Mahesh Balihari ॥ 1 ॥

Kar Mein Damroo Trishul Tihare,
Kati Mein Har Vaghambar Dhare
Uma Sahit Heem Shail Virajat,
Shobha Hai Nyari ।
Balihari - Balihari
Jay Mahesh Balihari ॥ 2 ॥

Pal Mein Prabhu Tum Pralaynkar,
Par Prabho Saday Ubhaynkar
Rishi Muni Bhed Na Paye Tiharo,
Hum to Hai Sansari ।
Balihari - Balihari
Jay Mahesh Balihari ॥ 3 ॥

Agam Nigam Tab Bhed Na Jane,
Bramha Vishnu Sada Shiv Mane
Devo Ke O Mahadev Ab,
Raksha Karo Hamari ।
Balihari - Balihari
Jay Mahesh Balihari ॥ 4 ॥

Kis Vidhi Vandan Karun Tiharo,
Aughardani Tripurari
Balihari - Balihari
Jay Mahesh Balihari ॥
महेश वंदना: किस विधि वंदन करू तिहारो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
किस विधि वंदन करू तिहारो - औघड़दानी त्रिपुरारी, बलिहारी - बलिहारी - जय महेश बलिहारी ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Aaye Hain Din Sawan Ke

Aaye Hai Din Saavan Ke, Ganga Jal Se Bhar Ke Gagariya, Ganga Jal Se Bhar Ke Gagariya, Shiv Ko Kavad Chadhavan Ke, Aaye Hai Din Saavan Ke, Aaye Hai Din Saavan Ke ॥

Hamare Sath Shri Mahakal To Kis Baat Ki Chinta

Hamare Sath Shri Mahakal, To Kis Baat Ki Chinta, Sharan Mein Rakh Diya Jab Maath, To Kis Baat Ki Chinta...

Kis Vidhi Vandan Karun Tiharo Aughardani

Kis Vidhi Vandan Karun Tiharo, Aughardani Tripurari Balihari - Balihari - Jay Mahesh Balihari ॥

Bhole Aisi Bhang Pila De Jo Tan Man Me Ram Jaye

Bhole Aisi Bhang Pila De, Jo Tan Man Mein Ram Jaye, Tan Man Mein Ram Jaye Bhole, Rom Rom Bas Jaye, Koi Lakh Jatan Kar Haare, Utre Na Utraye, Bholen Aisi Bhang Pila De, Jo Tan Man Mein Ram Jaye ॥