Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai (किसी के काम जो आये, उसे इन्सान कहते हैं: भजन)


Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Kabhi Dhanvan Hai Kitna,
Kabhi Insan Nirdhan Hai ।
Kabhi Sukh Hai, Kabhi Dukh Hai,
Isi Ka Naam Jeevan Hai ॥
Jo Mushkil Mein Na Ghabraye,
Use Insan Kahte Hain ॥

Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥

Yah Duniyan Ek Uljhan Hai,
Kahin Dhokha Kahin Thokar ।
Koi Hans-hans Ke Jeeta Hai,
Koi Jeeta Hai Ro-rokar ॥
Jo Girkar Phir Sambhal Jaaye,
Use Insan Kahte Hain ॥

Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥

Agar Galti Rulati Hai,
To Rahen Bhi Dikhati Hai ।
Manuj Galti Ka Putla Hai,
Yah Aksar Ho Hi Jati Hai ॥
Jo Kar Le Theek Galti Ko,
Use Insan Kahte Hain ॥

Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥

Yon Bharne Ko to Duniyan Mein,
Pashu Bhi Pet Bharte Hain ।
Liye Insan Ka Dil Jo,
Vo Nar Parmarth Karte Hain ॥
Pathik Jo Bant Kar Khaye,
Use Insan Kahte Hain ॥

Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
किसी के काम जो आये, उसे इन्सान कहते हैं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
किसी के काम जो आये, उसे इन्सान कहते हैं । पराया दर्द अपनाये, उसे इन्सान कहते हैं ॥...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan

Other Popular Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai Video

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai By Shri Krishna Chandra Shastri Thakur Ji

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai By Dhiraj Kant

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare