Koi Aisi Khol Nahin (कोई ऐसी खोल नहीं है: भजन)


Koi Aisi Khol Nahin Hai,
Jismen Tu Chhup Paayega ॥
Doha – Sheesh Dhako to Paanv Khule Re,
Paanv Dhako to Sheesh,
Ajab Chadariya Trishna Ki Hai,
Jisme Jeevan Jaye Beet ॥

Koi Aisi Khol Nahin Hai,
Jismen Tu Chhup Paayega,
Prabhu Ke Naam Ki Odh Chadariya,
Tan Mann Sab Dak Jayega ॥

Bade Gun Wali Prabhu Naam Ki Chadariya,
Jismen Prabhu Se Mangi Mili Chadariya,
Tulsidas Ne Bhakti Karke,
Ram Chadariya Odh Li,
Ramcharit Gaakar Ke Ram May,
Ban Gayi Jag Mein Tulsi,
Bina Vastra Tu Aaya Jagat Mein,
Bina Vastra Hi Jayega,
Prabhu Ke Naam Ki Odh Chadariya,
Tan Mann Sab Dak Jayega,
Koin Aisi Khol Nahi Hai,
Jismen Tu Chhup Payega ॥

Meera Ne Odhi Krishn Naam Ki Chadariya,
Nandlala Ki Mann Mein Baaji Basuriya,
Vish Ka Pyala Rana Bheja,
Pi Gayi Meera Hanskar,
Saara Vish Amrit Sa Ho Gaya,
Krishn Chadariya Chhukar,
Ajar Amar Prabhu Naam Chadariya,
Odh Amar Pad Payega,
Prabhu Ke Naam Ki Odh Chadariya,
Prabhu Ke Naam Ki Odh Chadariya,
Tan Mann Sab Dak Jayega,
Koin Aisi Khol Nahi Hai,
Jismen Tu Chhup Payega ॥

Sur Ne Odhi Hari Naam Ki Chadariya,
Darshan Paye Prabhu Sur Bin Akhiyan,
Shyam Sundar Ke Baal Roop Mein,
Rami Bhavna Unki,
Bhakti Mein Shakti Phir Jagi,
Khul Gayi Akhiyan Mann Ki,
Prabhu Ke Naam Ki Jyot Jaga Tu,
Hari Ka Darshan Payega,
Prabhu Ke Naam Ki Odh Chadariya,
Tan Mann Sab Dak Jayega,
Koin Aisi Khol Nahi Hai,
Jismen Tu Chhup Paayega ॥

Koin Aisi Khol Nahin Hai,
Jismen Tu Chhup Payega,
Prabhu Ke Naam Ki Odh Chadariya,
Tan Mann Sab Dak Jayega ॥
कोई ऐसी खोल नहीं है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कोई ऐसी खोल नहीं है, जिसमें तू छुप पायेगा, प्रभु के नाम की ओढ़ चदरिया, तन मन सब डक जाएगा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥