Ma Badi Dayani Hai Meri Jagdamba (माँ बड़ी दयानी है मेरी जगदम्बा - भजन)


Navratra Ke Din Karo Tum Pukar ।
Maiya Ka Jap Karlo Baar-Baar ॥
Maan Badi Dayani Hai, Meri Jagdamba ।
Deenon Ki Kalyani Hai, Meri Jagdamba ॥
Maan Daya Karegi,
Duhkhiyon Ke Duhkhon Ko Haregi ।
Naam Maan Ka Japo to,
Teri Vipda Ko Maiya Haregi ॥
Jag Mein Maan Jaisa Kaun ?
Vo to Maharani Hai, Meri Jagdamba ॥
Maan Badi....

Duhkhda Sunega Jag to,
Bas Sunkr Ye Duniya Hansegi ।
Yadi Maan Ko Duhkh Suna Do,
to Pal Mein Duhkhon Ko Haregi ॥
Vindhyachal Maiya to,
Sab Gunon Kee Khani Hai, Meri Jagdamba ॥
Maan Badi....

Bhav Se Bhajo to,
Maan Bhavpaar Tumko Karegi ।
Kaant Maan Ko Japo to,
Tere Kashton Ko Maiya Haregi ॥
Maiya Ki Mamta to,
Jaise Nirmal Paani Hai, Meri Jagdamba ॥
Maan Badi....
माँ बड़ी दयानी है मेरी जगदम्बा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
नवरात्र के दिन करो तुम पुकार । मइया का जप करलो बार-बार ॥ माँ बड़ी दयानी है, मेरी जगदम्बा । दीनों की कल्यानी है, मेरी जगदम्बा ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥