Mann Fula Fula Phire Jagat Mein (मन फूला फूला फिरे जगत में - भजन)


Mann Fula Fula Phire,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥
Mata Kahe Yah Putr Hamara,
Bahan Kahe Beer Mera,
Bhai Kahe Yah Bhuja Hamari,
Nari Kahe Nar Mera,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Pet Pakad Ke Mata Rove,
Baanh Pakad Ke Bhai,
Lapat Jhapat Ke Tiriya Rove,
Hans Akela Jae,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Jab Tak Jeeve Mata Rove,
Bahan Rove Das Masa,
Terah Din Tak Tiriya Rove,
Pher Kare Ghar Vasa,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Chaar Jana Mil Gaji Banai,
Chadha Kaath Ki Ghodi,
Chaar Kone Aag Lagai,
Funk Diyo Jas Hori,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Haad Jale Jas Laakdi Re,
Kesh Jale Jas Ghas,
Sona Jaisi Kaya Jal Gai,
Koi Na Aayo Paas,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Ghar Ki Tiriya Dhundhan Lagi,
Dhundi Phiri Chahu Desha,
Kahat Kabir Suno Bhi Sadho,
Chhodo Jagat Ki Aasha,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Man Fula Fula Phire,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥
मन फूला फूला फिरे जगत में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मन फूला फूला फिरे, जगत में कैसा नाता रे ॥ माता कहे यह पुत्र हमारा..
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanGuru Gyan BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanKabir BhajanKabir Vani BhajanArya Samaj BhajanPrakash Gandhi BhajanRajasthani Bhajan

Other Popular Mann Fula Fula Phire Jagat Mein Video

By Tarasingh Dodve

By Sunita Swami

By Maithili Thakur, Rishav Thakur

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥