Mann Mi Muraden Poori Kar Maa (मन की मुरादें, पूरी कर माँ - भजन)


Man Ki Muraden, Poori Kar Maa,
Darshan Karne Ko Main to Aaungi ।
Tera Deedar Hoga, Mera Udhar Hoga,
Halwe Ka Bhog Main Lagaungi ।
Tu Hai Dati Daan Dede, Mujh Ko Apna Jaan Kar ।
Bhar De Meri Jholi Khali Daag Lage Na Teri Shaan Par ।
Sava Rupaya Aur Nariyal, Main Teri Bhent Chadhaungi ॥
॥ Man Ki Muraden, Poori Kar Maa… ॥

Chhoti Chhoti Kanyaon Ko Bhog Lagaoon Bhakti Bhav Se ।
Tera Jagrata Karaun Main to Bade Chaav Se ।
Lal Dvaja Lekar Ke Mata Tere Bhawan Pe Lahraungi ॥
॥ Man Ki Muraden, Poori Kar Maa… ॥

Mahima Teri Badi Nirali, Paar Na Koi Paya Hai ।
Maine Suna Hai, Brahma, Vishnu Shiv Ne Tera Gun Gaya Hai ।
Meri Aukat Kya Hai, Teri Maa Baat Kya Hai, Kaise Tujh Ko Bhulaungi ॥
॥ Man Ki Muraden, Poori Kar Maa… ॥

Laal Chola Laal Chunri, Laal Tere Laal Hain ।
Teri Jis Par Ho Daya Maa, Vo to Malamal Hai ।
Shyamsundar Aur Lakkha Balak Hain Tere, Unko Bhi Sang Main Laungi ॥

Man Ki Muraden, Poori Kar Maa,
Darshan Karne Ko Main to Aaungi ।
Tera Deedar Hoga, Mera Udhar Hoga,
Halwe Ka Bhog Main Lagaungi ।
मन की मुरादें, पूरी कर माँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मन की मुरादें, पूरी कर माँ, दर्शन करने को मैं तो आउंगी। तेरा दीदार होगा, मेरा उधार होगा..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanSantoshi Maa BhajanLakhbir Singh BhajanLakkha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥

Girija Ke Chheya Ganpati Tumhe Pukaru

Girija Ke Chheya, Ganpati Tumhe Pukaru, Poojun Main Tumhe, Aarati Teri Utarun, Girija Ke Chheya ॥

Mahalaxmi Jaap Karo

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam, Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Mere Mohan Tera Muskurana

Mere Mohan Tera Muskurana, Bhool Jaane Ke Kabil Nahin Hai, Chot Khayee Hai Jo Mainne Dil Mein, Vo Dikhane Ke Kabil Nahin Hai