Meri Sherawali Maa Badalti Takdire (मेरी शेरावाली मां, बदलती तकदीरे: भजन)


Kabhi Jaldi Jaldi,
Kabhi Dhire Dhire,
Meri Sherawali Maa,
Badalti Takdire ॥
Kahate Hai Koi Badal Na Pata,
Hai Haathon Ki Rekha,
Par Ye Karishma Hamane Maa Ko,
Roj Hi Karte Dekha,
Tabhi To Ye Duniya,
Diwani Iski Re,
Meri Sherawali Maa,
Badalti Takdire ॥

Din Dukhi Lakhon Hi Aate,
Maiya Ji Ke Dwar,
Baari Baari Se Meri Maiya,
Sabke Kaaj Saware,
Yaha Par To Bharti,
Jholiyan Sabki Re,
Meri Sherawali Maa,
Badalti Takdire ॥

Agar Bharosha Sachha Ho To,
Kaam Bane Ek Paal Mein,
Der Unhiko Lagti Jinke,
Shanka Rahti Maan Main,
Kahe ‘Sonu’ Rakho,
Bhabna Sachhi Re,
Meri Sherawali Maa,
Badalti Takdire ॥

Kabhi Jaldi Jaldi,
Kabhi Dhire Dhire,
Meri Sherawali Maa,
Badalti Takdire ॥
मेरी शेरावाली मां, बदलती तकदीरे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कहते है कोई बदल ना पाता, है हाथों की रेखा, पर ये करिश्मा हमने माँ को, रोज ही करते देखा, तभी तो ये दुनियाँ, दीवानी इसकी रे, मेरी शेरावाली मां, बदलती तकदीरे ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Main Balak Tu Mata Sherawaliye

Main Balak Tu Mata Sherawaliye, Hai Atut Yah Naata Sherawaliye

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara । Dil Ne Pukara Tu Hai Mera Sahara Maa | Sheranwali, Jotanwali, Mehraanwali Maa

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr