Bhajan: Mujhko Naval Utthan Do, Maa Saraswati Vardan Do (माँ सरस्वती! मुझको नवल उत्थान दो - भजन)


Mujhko Naval Utthaan Do ।
Maa Saraswati! Vardaan Do ॥
Maa Sharde! Hansasini,
Vagish! Veenavadini । ..X2
Mujhko Agam Swar-gyan Do । ..X2
Maa Saraswati! Vardaan Do ॥
Mujhko Naval Utthaan Do ।

Nishkaam Ho Manokamna,
Meri Saphal Ho Saadhna । ..X2
Nav Gati, Nai Lay Taan Do । ..X2

Maa Saraswati! Vardaan Do ।
Mujhko Naval Utthaan Do ॥

Ho Satya Jeevan-saarthi,
Teri Karun Nit Aarti । ..X2
Samrddhi, Sukh, Samman Do । ..X2

Maa Saraswati! Vardaan Do ।
Mujhko Naval Utthaan Do ॥

Man, Buddhi, Hriday Pavitr Ho,
Mera Mahaan Charitra Ho । ..X2
Vidya, Vinay, Bal Daan Do । ..X2
Maa Saraswati! Vardaan Do ॥

Sau Varsh Tak Jeete Rahen,
Sukh-amiya Hum Pite Rahen । ..X2
Nij Charan Mein Susthan Do । ..X2

Maa Saraswati! Vardaan Do ।
Mujhko Naval Utthaan Do ॥

Yah Vishwa Hi Parivar Ho,
Sabke Lie Sam Pyar Ho । ..X2
Aadesh Lakshya Mahan Do । ..X2
Maa Saraswati! Vardaan Do ॥

Mujhko Naval Utthaan Do ।
Maa Saraswati! Vardaan Do ॥
माँ सरस्वती! मुझको नवल उत्थान दो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मुझको नवल उत्थान दो । माँ सरस्वती! वरदान दो ॥ माँ शारदे! हंसासिनी...
Bhajan Maa Saraswati BhajanSchool BhajanCollege BhajanSaraswati Shishu Mandir BhajanVasant Panchami BhajanBasant Panchami BhajanSaraswati Puja BhajanSaraswati Jayanti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,