Nau Nau Roop Maiya Ke To Bade Pyare Lage (नौ नौ रूप मैया के तो, बड़े प्यारे लागे: भजन)


Nau Nau Roop Maiya Ke To,
Bade Pyare Lage,
Bade Pyare lage,
Sabse Paye Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage,
Sabse Payre Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage ॥
Pratham Pujya Hai Shailputri,
Duji Brahmacharani,
Bhakt Jano Se Bhav Sagar Se,
Paar Utarani,
Tino Loko Main Maiya Ke,
Tino Loko Main Maiya Ke,
Jay Jaykare Lage,
Sabse Payre Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage ॥

Chandraghanta Maiya Ka Hai,
Tija Roop Nirala,
Kushmanda Bhakt Jano Ki,
Har Vipada Ko Tala,
Skand Mata Panchava Poojan,
Skand Mata Panchava Poojan,
Karne Sare Lage,
Sabse Payre Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage ॥

Katyayani Pujan Karle,
Paar Lagake Sare,
Kalaratri Dusta Jano Ko,
Ek Pal Mein Sanhare,
Maa Ka Naam Sumire Jo,
Maa Ka Naam Sumire Jo,
Unke Bhag Jage,
Sabse Payre Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage ॥

Maa Gauri Hai Roop Aathavan,
Jisne Bhi Dhyaya,
Siddhi Datri Roop Mein Maa Ne,
Sara Dukh Mitaya,
Mandir Mandir Dekho Maa Ke,
Mandir Mandir Dekho Maa Ke,
Bhakton Mele Lage,
Sabse Payre Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage ॥

Nau Nau Roop Maiya Ke To,
Bade Pyare Lage,
Bade Pyare lage,
Sabse Paye Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage,
Sabse Payre Maa Ke,
Bhawano Ke Najare Lage ॥
नौ नौ रूप मैया के तो, बड़े प्यारे लागे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नौ नौ रूप मैया के तो, बड़े प्यारे लागे, बड़े प्यारे लागे, सबसे प्यारे माँ के, भवनो के नजारे लागे, सबसे प्यारे माँ के, भवनो के नजारे लागे ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Piyo Ji Maine Ram Ratan Dhan Payo

Payo Ji Maine Ram Ratan Dhan Payo । Vastu Amolik Di Mere Satguru । Kripa Kar Apnayo

Na Jane Kaun Se Gun Par Dayanidhi Reejh Jate Hain

Na Jane Kaun Se Gun Par, Dayanidhi Reejh Jate Hain । Yahi Sad Granth Kahate Hain, Yahi Hari Bhakt Gate Hain ॥

Prabhu Humpe Daya Karna

Prabhu Humpe Daya Karna, Kripa Karna Daya Karna। Vaikunth Too Yahi Hai...

Aaj Hai Anand Baba Nand Ke Bhawan Mein

Aaj Hai Anand Baba Nand Ke Bhawan Mein, Asa Na Anand Chaya Kabhi Tribhuban Mein, Asa Na Anand Chaya Kabhi Tribhuban Mein, Aaj Hai Anand Baba Nand Ke Bhawan Mein ॥

O Rahi Ruk Jana Jaha Chitchor Base Us Raah Pe Mat Jana

O Raahi Ruk Jana, Jahaan Chitchor Base, Us Raah Pe Mat Jana ॥