Odh Chunariya Maiya Lal Chali (ओढ़ चुनरियाँ मैया लाल चली: भजन)


Odh Chunariya Maiya Lal Chali,
Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali ॥
Bramha Ji Ne Is Chunri Par,
Charo Ved Likhaye,
Sare Devi Aur Devta,
Dekh Jise Harsae,
Is Chunri Ki Shobha Nyari,
Dekh Chand Sharmaye,
Asi Chunri Tin Lok Main,
Aur Na Dekhi Jaye,
Karle Jo Darshan Iski,
Chinta Tali,
Siddh Sawari Pe Hai Lagti Bhali,
Piche Piche Hai Bhero Naath Chale,
Aage Chale Hai Veer Bajrang Bali,
Odh Chunariya Maiya Lal Chali,
Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali ॥

Bhole Baba Is Chunri Main,
Om Naam Likhwaya,
Hire Moti Manik Jod Ke,
Isko Khub Sajaya,
Mahadev Ko Is Chunri Main,
Laal Rang Hai Bhaya,
Is Chunri Ki Sobha Nyari,
Aur Gajab Hai Maya,
Ho Rahi Charcha Jiski,
Gao Aur Gali,
Siddh Sawari Pe Hai Lagti Bhali,
Piche Piche Hai Bhero Naath Chale,
Aage Chale Hai Veer Bajrang Bali,
Odh Chunariya Maiya Lal Chali,
Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali ॥

Bramha Ji Bole Ye Chunri,
Hai Satiyon Ka Gahana,
Satavanti Nari Ko Sikhae,
Sat Pe Path Pe chalana,
Is Chunari Ko Prem Sahit,
Odhe Jo Koi Bahana,
Rahe Suhagan Sada Vo Nari,
‘Rajapal’ Ka Kahana,
Ghar Ghar Mein ‘Lakhkha’
Jyot, Maa Ki Jali,
Siddh Sawari Pe Hai Lagti Bhali,
Piche Piche Hai Bhero Naath Chale,
Aage Chale Hai Veer Bajrang Bali,
Odh Chunariya Maiya Lal Chali,
Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali ॥

Laal Rang Ki Laal Chunariyan,
Laal Hai Tere Lae,
Rang Laal Karta kamal,
Jo Tere Maan Ko Bhaye,
Odh Chunariya Maiya Lal Chali,
Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali.
Piche Piche Hai Bhero Naath Chale,
Aage Chale Hai Veer Bajrang Bali,
Odh Chunariya Maiya Lal Chali,
Sidh Sawari Pe hai Lagati Bhali ॥
ओढ़ चुनरियाँ मैया लाल चली: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओढ़ चुनरियाँ मैया लाल चली, सिंघ सवारी पे है लगती भली ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Bhole Ki Fauj

Bam Bam Bam Bhole Bam Bam Bam, Is Sawan Karegi Mauj, Mere Bhole Ki Fauj

Sita Ram Sita Ram Sita Ram Kahiye

Sita Raam Sita Raam, Sitaraam Kahiye, Jaahi Vidhi Raakhe Raam, Taahi Vidhi Rahiye ।

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Ram Ras Barsyo Re, Aaj Mahre Angan Main

Ram Ras Barsyo Ri, Aaj Mhare Angan Mein । Jag Gaye Sab Soye Sapne, Sabhi Paraye Ho Gaye Apne

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini