Raat Bhado Ki Thi Chhai Kali Ghata (रात भादो की थी, छाई काली घटा: भजन)


Raat Bhado Ki Thi,
Chhai Kali Ghata,
Krishn Ka Janm Lena,
Gajab Ho Gaya,
Pahare Daar Sabhi,
So Gaye Jel Ke,
Maya Bhagwan Ki Rachna,
Gajab Ho Gaya,
Raat Bhadon Ki Thi,
Chhai Kali Ghata ॥
Leke Mohan Ko,
Vasudev Gokul Chale,
Naam Bhagwan Ka,
Hriday Mein Leke Chale,
Dekhe Yamuna Ke Tat Pe,
Hai Mohan Khade,
Pair Yamuna Ka Chhuna,
Gajab Ho Gaya,
Raat Bhadon Ki Thi,
Chhai Kali Ghata ॥

Jaake Gokul Se,
Vasudev Laye Lali,
Aur Mohan Ko Chhoda,
Lali Ki Jagah,
Jab Subah Ko Khabar,
Kans Ne Ye Suni,
Uska Dheeraj Na Bandhna,
Gajab Ho Gaya,
Raat Bhadon Ki Thi,
Chhai Kali Ghata ॥

Dauda Dauda Gaya,
Vo Paapi Jel Mein,
Leke Phoran Chala,
Vo Use Maarne,
Jyoon Hi Kanya Ko,
Upar Uthane Laga,
Usko Upar Uthana,
Gajab Ho Gaya,
Raat Bhadon Ki Thi,
Chhai Kali Ghata ॥

Usne Chaaha Ki Maaru,
Shila Se Ise,
Chhut Ke Vo Gayi,
Kanya Aakash Mein,
Karne Aakash Vaani,
Vo Kanya Lagi,
Tera Kanya Ko Maarna,
Gajab Ho Gaya,
Raat Bhado Ki Thi,
Chhai Kali Ghata ॥

Raat Bhado Ki Thi,
Chhai Kali Ghata,
Krishn Ka Janm Lena,
Gajab Ho Gaya,
Pahare Daar Sabhi,
So Gaye Jel Ke,
Maya Bhagwan Ki Rachna,
Gajab Ho Gaya,
Raat Bhadon Ki Thi,
Chhai Kali Ghata ॥
रात भादो की थी, छाई काली घटा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रात भादो की थी, छाई काली घटा, कृष्ण का जन्म लेना, गजब हो गया, पहरे दार सभी, सो गए जेल के, माया भगवन की रचना, गजब हो गया, रात भादों की थी, छाई काली घटा ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKrishn Janmasthami Bhajan

Other Popular Raat Bhado Ki Thi Chhai Kali Ghata Video

Sabse Unchi Prem Sagai By Jaya Kishori

Sabse Unchi Prem Sagai By Shri Devkinandan Thakur Ji

Sabse Unchi Prem Sagai Srishti Bhandari

Sabse Unchi Prem Sagai By Varsha Shrivastava

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥