Raghuvir Ko Pranam Hamara Keh Dena (रघुवीर को, प्रणाम हमारा कह देना - भजन)


O Jane Wale Raghuvir Ko,
Pranam Hamara Kah Dena
Pranam Hamara Kah Dena,
Sitaram Hamara Kah Dena ॥
Shri Ram Ki Mata Kaushalya,
Aur Dashrath Dheeraj Dhaari Ko,
Shri Bharat Ki Mata Kekayi Ko,
Pranam Hamara Kah Dena ॥

Shri Bharat Shatrughn Bhaiya Ko,
Aur Chhoti Maat Sumitra Ko,
Shri Sita Janak Dulari Ko,
Pranam Hamara Kah Dena ॥

Shri Hanuman Bal Sugreev Ko,
Aur Sari Angad Sena Ko,
Shri Poori Ayodhya Nagri Ko,
Pranam Hamara Kah Dena ॥

Shri Ram Chandra Avtari Ko,
Aur Lakshman Dhanuva Dhaari Ko,
Shri Lavkush Aagyakari Ko,
Pranam Hamara Kah Dena ॥

Shri Balmiki Ramayan Ko,
Aur Charo Ved Puranon Ko,
Shri Geeta Maat Kalyani Ko,
Pranam Hamara Kah Dena ॥
रघुवीर को, प्रणाम हमारा कह देना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ जाने वाले रघुवीर को, प्रणाम हमारा कह देना, प्रणाम हमारा कह देना, सीताराम हमारा कह देना ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanBhagwan Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Mujhe Har Koi Tera Laal Kahe

Tere Dar Pe Aana Jana Mera Har Pal Laga Rahe, Han Tere Dar Pe Aana Jana Mera Har Pal Laga Rahe, Sheronwali Maa Mujhe Har Koi Tera Lal Kahe...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...