Ram Japate Raho, Kam Karte Raho (राम जपते रहो, काम करते रहो - भजन)


Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।
Waqt Jeevan Ka, Yunhi Nikal Jayega ।
Agar Lagan Sachchi, Bhagwan Se Lag Jayegi ।
Tere Jeevan Ka Naksha, Badal Jayega ।
Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।
Laakh Chaurasi Bhraman, Kiya Dukh Sahan ।
Paya Mushkil Se Tab, Esa Manush Tan ।
Raah Chalte Chalo Kar Kisi Ki Najar ।
Pair Naajuk Hai Neeche Phisal Jayega ।
Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।

Kaul Tune Kiya, Main Karunga Vafa ।
Par Gaya Bhool Kuchh, Na Kamaya Napha ।
Aake Masti Mein Tu, Mooldhan Kha Gaya ।
Aakhiri Mein Tera, Sar Kuchal Jayega ।
Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।

Khair Biti Jo, Ab Sambhalo Jara ।
Prem Gadgad Ho, Aansu Nikalo Jara ।
Vo Daya Patr Hari Ka, Bharo Neer Se ।
Bharte Bharte Ek Din, Chhalak Jayega ।
Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।

Chhodkar Chhal Kapat, Moh Maya Jatan ।
Lau Prabhu Se Lagana, Jagdamba Sharan ।
Mom Sa Hai Zigar, in Dayasindhu Ka ।
Asar Padte Hi Phauran, Pighal Jayega ।
Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।

Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।
Waqt Jeevan Ka, Yunhi Nikal Jayega ।
Agar Lagan Sachchi, Bhagwan Se Lag Jayegi ।
Tere Jeevan Ka Naksha, Badal Jayega ।
Ram Japte Raho, Kam Karte Raho ।
राम जपते रहो, काम करते रहो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम जपते रहो, काम करते रहो । वक्त जीवन का, यूँही निकल जायेगा ।
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navami BhajanJanaki Jayanti BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPujya Rajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Agar Nath Dekhoge Avgun Humare

Agar Nath Dekhoge Avgun Hamare, To Ham Kaise Bhav Se Lagenge Kinare ॥

Kripalu Bade Hai Shri Shyam Sundar

Kripalu Bade Hain Shri Shyam Sundar, Kripalu Kripa Ki Barsaat Kar De, Inke Hriday Mein Prem Bhara Hai, Bhagwan Sabon Se Prem Hai Karte, Kripalu Bade Hai Shrin Shyam Sundar, Kripalu Kripa Ki Barsaat Kar De ॥

Radha Se Karde Sagai

Kahate Hai Krishn Kanhai, Radha Se Kar De Sagai, Meri Radha Se Kar De Sagai ॥

Jyoti Kalash Chhalake

Jyoti Kalash Chhalke, Hue Gulabi, Lal Sunhare, Rang Dal Badal Ke, Jyoti Kalash Chhalke..

Ram Naam Ladd, Gopal Naam Gee

Jai Sita Ram Ki, Jai Radhe Shyam Ki। Ram Nam Laddu...