Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi (सजधज कर जिस दिन, मौत की शहजादी आएगी: भजन)


Sajdhaj Kar Jis Din,
Maut Ki Shahajadi Aayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥
Chhota Sa Tu,
Kitne Bade Arman Hain Tere,
Mitti Ka Tu,
Sone Ke Saman Hain Tere,
Mitti Ki Kaya Mitti Mein,
Jis Din Samayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥

Par Khol Le Tu Panchhi,
Pinjra Tod Ke Ud Ja,
Maya Mahal Ke Sare,
Bandhan Chhod Ke Ud Ja,
Dhadkan Mein Jis Din,
Maut Teri Gungunayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥

Achchhe Kiye Tune Karam,
To Paya Manush Tan,
Aur Paap Ki Kyon Bhatka,
Hai Ye Paapi Tera Man,
Ye Paap Ki Naiya Tujhko,
Ek Din Dubayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥

Jaisa Kiya Hai Tune,
Tere Sath Jayega,
Boye Hai Kante Tune,
Kaise Phool Payega,
Ye Paap Ki Gathri,
Tujhe Ek Din Dubayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥

Bhai Bhatije Bandhu Sab,
Matlab Ke Hai Sare,
Koi Nahi Kuchh Kam,
Tere Aayenge Pyare,
Karni Hi Teri Baware,
Sang Tere Jayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥

Sajdhaj Kar Jis Din,
Maut Ki Shahajadi Aayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi,
Na Sona Kaam Aayega,
Na Chandi Aayegi ॥
सजधज कर जिस दिन, मौत की शहजादी आएगी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सजधज कर जिस दिन, मौत की शहजादी आएगी, ना सोना काम आएगा..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanCollage BhajanGurukul BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanSuresh Awasthi Bhajan

Other Popular Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi Video

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi By Devi Chitralekhaji

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi By Prem Bhushan Ji Maharaj

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chandan Hai Is Desh Ki Mati

Chandan Hai Is Desh Ki Mati, Tapobhoomi Har Gram Hai . Har Bala Devi Ki Pratima, Bachcha Bachcha Ram Hai

Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai

Hum Haar Maan Ne Vale Insan Nahi Hai, Jo Pith Dikha Kar Bhage Vo Bejan Nahi Hai, Sur Veero Ki Bhumi Hum Jis Dhara Pe Rahte Hai, Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai ॥

Bharat Hai Pehchan Meri

Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri, Duniya Mein Sabse Nyara Mujhe Desh Jaan Se Pyara Hai, Bas Hi Swarg Dwar Iske Liye To Harpal Hajir Jaan Mei, Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri ॥

Vande Mataram - National Song

National Anthem - Jana Gana Mana

Hamara Pyara Hindudweep

Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Ab Utho Jago Hey Aaryavir! Uttaal Prachand Samarasindhu Samip, Hey Subhat-Vikat-Vikaral-Kal, Prakhar-Prabal-Shur-Shastrapani Mahip,
Vishvahrday Yah Bharat-Bhushit, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip ॥